Shaguft e gul ki sada main main rang e chaman main aao . Koi bhi rut ho bahaar k peerhun main aao . Koi safar ho tumhi ko manzil samjh k jaaon . Koi masafat ho tum meri hi lagan main aao . Kabhi to aisa bhi ho kah logon ki baat sun kar . Meri taraf tum riqebon ki jalan main aao . Wo jab garor or naaz say tum chale gaye thay . Kabhi usi tamkinat, usi bankpun main aao . Ya q hamaisha meri talab hi tumhain sada day . Kabhi to khud bhi sapurdagi ki thakan may aao . Hazar muflis sahi magar hum sakhi balaa k . Kabhi to tum ahl e dard ki anjuman main aao . Hum ahl e dil hai hamari aqleem harf ki hai . Kabhi to jan e sukhan diyaar e sukhan may aao . Kabhi kabhi doriyon say koi pukarta hai . +++FarAZ+++ Jani Faraz piyare, watan main aao......! . Book Pas E Andaz Mosam *._.* Poet Ahmad Faraz *._.* Typed by *__SA-k-Jan__*

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga