Suna Hai Log Use Aankh Bhar K. TaYpEd By *SHANI.M.B* Suna Hai Log Use Aankh Bhar K Dekhte Hain. So Us K Shahar Main Kuch Din Tehar K Dekhte Hain. Suna Hai Rabt Hai Us Ko Kharab Halon Se. So Apne Ap Ko Barbad Kar K Dekhte Hain. Suna Hai Dard Ki Gahak Hain Chashm E Nazuk Us Ki. So Hum Bhi Us Ki Gali Se Guzar K Dekhte Hain. Suna Hai Us Ko Bhi Hai Sher O Shayri Ka Shauq. So Hum Bhi Mojaze Apne Hunar K Dekhte Hain. Suna Hai Bole To Baton Se Phool Jharte Hain. Ye Baat Hai To Chalo Baat Kar K Dekhte Hain. Suna Hai Raat Use Chand Takta Rehta Hai. Sitare Baam E Falak Se Utar Kar Dekhte Hain. Suna Hai Hashr Hain Us Ki Ghazal Si Aankhain. Suna Hai Us Ko Hiran Dasht Bhar K Dekhte Hain. Suna Hai Din Ko Use Titliyan Sata'ti Hain. Suna Hai Raat Ko Jugno Thahar K Dekhte Hain. Suna Hai Rat Se Barh Kar Hain Kakulan Us Ki. Suna Hai Sham Ko Saye Guzar K Dekhte Hain. Suna Hai Us Ki Siyah Chashmagi Qiyamat Hai. So Us Ko Surma Farosh Aankh Bhar K Dekhte Hain. Suna Hai Us K Labon Se Gulab Jharte Hain. So Hum Bhi Khud Par Ilzam Dhar K Dekhte Hai. Suna Hai Aina Tamasal Hai Jabin Us Ka. Jo Sada Dil Hain Ban Sanvar K Dekhte Hain. Suna Hai Jab Se Hamail Hain Us Ki Gardan Main. Mizaj Aur Hi Lal O Gauhar K Dekhte Hain. Suna Hai Chashm E Tasavur Se Dasht E Imkan Main. Pa5kang Zawaiya Us Ki Kamar K Dekhte Hain. Suna Hai Us K Badan K Tarash Aise Hain. K Phool Apni Qabazain Qatar K Dekhte Hain. Wo Sarvar Hai Magar Begul E Muraad Nahi. K Us Shjar Pe Shagufe Samar K Dekhte Hain. Bas Ek Nigah Se Lutata Hai Qafila Dil Ka. So Rahravan E Tamana Bhi Dar K Dekhte Hain. Suna Hai Us K Shabistan Se Mutasil Hai Behisht. Makin Udhar K Bhi Jalway Idhar K Dekhte Hain. Ruke To Gardishain Us Ka Tawaf Karti Hain. Chale To Us Ko Zamana Tehar K Dekhte Hain. Kise Naseeb K Be Parahan Use Dekhe. Kabhi Kabhi Dar O Divaar Ghar K Dekhte Hain. Kahaniyan Hi Sahi Sab Mubalaghy Hi Sahi. Agr Wo Khawab Hai Tabees Kar K Dekhte Hain. Ab Us K Shehar Main Thehrain K Kooch Kar Jain. Faraz Aao Sitare Safar K Dekhte Hain. Poet. Ahmad Faraz. END**S Follow *SHANI.M.B* Send To 8001

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki