Suno Ae Chand Si Larki. Typed by *_RAINY_EYES_* Suno ae chana si larki. Abhi tum keh rahi thi na. Tumhen mujh se muhabat ho nahi sakti. Chalo mana k ye sach hai. Magar ae chand si larki. Mujhy itna batao tum. K jab mosam badalte hain. Gulon main rang bharte hain. To phir kiun muztarib ho kar. Akele pan se ghabra kar. Hawa ko raaz deti ho. Mujhe awaz deti ho. Suno ae chand c larki. Tumhare samne koi mera jub naam leta hai. To phir kiun chonk jati ho. Chalo mana tumhain mujh se muhabat ho nahi sakti. Magar itna samajh lo tum. Jahan chahat nahi hoti. Wahan nafrat k hone ka koi imkan nahi hota. Mera dawa h chahat main. Jahan nafrat nahi hoti. Wahan aksar ye dekha hai. Agar kuch waqt kat jaye. Samay ki dhool charh jaye. To wehshat bhaj jati hai. Muhabbat jaag jati hai. Unknown poet. Follow *_RAINY_EYES_*

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki