Tasawar Men Jo Chehra Reh Gaya TaYpEd By TLASH25 Tasawar Men Jo Chehra Reh Gaya Hai Wahi Dam Saz Tanha Reh Gaya Hai. Tamasha Gaah-e-Aalam Men Bil Aakhir Ek Apna Hi Tamasha Reh Gaya Hai. Kise Chahe Kise Apna Kahen Hum Yahan Ab Kon Kiska Reh Gaya Hai. Ye kesa Saanha Guzra K Ab Tak Gali Koochon Men Charch Reh Gaya Hai. Muyasar Thi Jise Sub Ki Rafaqat Wahi Dunya Men Tanha Reh Gaya. Jahan Basti Thi Pehle Ab Wahan Per Nishan Sel Darya Reh Gaya Hai. Jo Kam Aaya Kya Auron Ke NADIR Usi Ka Naam Zinda Reh Gaya Hai....!

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki