TaYpEd By *SHANI_M_B* Phirte Hain Kab Se Dar Ba Dar Kabhi Is Nagar Kabhi Us Nagar. Aik Dosre K Humsafar Main Aur Meri Awargi. Na Aashna Har Rah Guzar Na Meharban Hai Aik Nazar. Jaain to Ab Jaain Kidhar Main Aur Meri Awargi. Hum Bhi Kabhi Abad Thay Aise Kahan Barbaad Thay Befikar Thay Azaad Thay Masroor Thay Dil Shad Thay. Wo Chal Aisi Chal Gaya hum Bujh Gaye Dil Jal Gaya. Nikle Jala K Apna Ghar Main Aur Meri Awargi. Ye Dil Hi Tha Jo Seh Gaya Wo Baat Aisi Keh Gaya. Kehne Ko Phir Kia Reh Gaya Ashkon Ka Dariya Beh Gaya. Jab K Kar Wo Dil Barbad Gaya Tere Liye Main Mar Gaya. Rote Hain Usko Rab Bhar Main Aur Meri Awargi. Ab Gham Uthain Kis Liye Ye Dil Jalain Kis Liye. Ansuoo Bhain Kis Liye Yun Jan Ganwaain Kis Liye. Pehchana Ho Jis Ka Sitam Dhonden Ge Ab Aisa Sanam. Koi Aur Mera Naseeb Hai Koi Aur Hai Mera Na Khuda. Tere Raston se Bohat Pare Kahen Door Hai Mera Rasta. Mere Sare Ehd Wafaon K Use ek Shakhs K Naam hain. Jise Main Ne Apna Samajh Liya Mujhe Jis Ne Apna Bana Liya. Mere Arzoo Tu Tumhe Rahe Main Ne Zindagi tu Tumhain Kaha. Kisi Aur Ko Main Ne Pa Lia Main Hon Bewafa Mujhe Bhooja. Mujhe Bhool Ja Mujhe Bhool Ja.

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga