Skip to main content
TExtEd by
*_TaNhA_*
Agli gali ke morr pe rehta tha aik shakhss,
Meri mohabbaton se shanaasa tha aik shakss,
Aankhon ko us ke baad sujhayi nahin diya,
Aayiney bantta hua guzra tha aik shakhss,
Kal phir nazar bacha ke guzarna para humain,
Kal phir hamari raah main betha tha aik shakhss,
Ik ranj-o-gham ki bheerr muqabil khari thi aur,
Hungama-e-hayaat mein tanha tha aik shakhss,
Mujhko b dushmanon ki zrurt thi shehr me,
Mujhko b apni jaan se piyara tha aik shakhs,
Tark-e-Taluqaat py Naadim na tha mgar,
Rukhsat hua to toot k roya tha aik shakhs,
"TANHA" wo khuwab tha ya haqeeqat khabar nhi,
Bas itna yaad hai, kahen dekha tha aik shakhs.
*_TaNhA_*
Comments