TExtEd by *_TaNhA_* _MOMIN_ Dar to mujhe kiska hai k main kuch nahin kehta par hal ye afshan hai k main kuchnahin kahta naseh ye gila hai k main kuch nahin kahta tu kab meri sunta hai k main kuch nahin kahta kuch ghair se honthon main kahe hai pe jo pucho to wahin mukarta hai k main kuch nahin kahta naseh ko jo chahun to abhi thik bana dun par khauf Khuda ka hai k main kuch nahin kahta chup k se tere milne ka ghar walon main tere is waste charcha hai k main kuchnahin kahta ay charagaro qabil-e-darmaan nahin ye dard warna mujhe sauda hai k main kuch nahin kahta har waqt hai dashnaam har ek bat pe tana phir is pe bhi kahta hai k main kuch nahin kahta Momin ba-Khuda sehar bayani ka jabhi tak har ek ko dawa hai k main kuch nahin kahta..

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki