TExtEd by *_TaNhA_* Poet: Faiz Ahmad FAIZ April 1975 Bahaar Aai to jesy YakBaar lout aay haiN phir Adam se... Wo Khuaab saary, Shabaab saary! Jo tery hoNtoN pe Mr mity thy... Jo mit k hr baar phir jiye thy... Nikhar gay haiN Gulaab saary! jo teri yaadoN se mushk-boo haiN! jo tery ushaaq kaa lahoo haiN! Ubal parry haiN azaab saary! Malaal-e-ahwaal-e-dostaaN bhi! Khumaar-e-aaghosh-e-MahvashaaN bhi! Ghubaar-e-Khaatir k Baab saary! Tery Hamaary Sawaal saary, Javaab saary! Bahaar aai to khul gay haiN, Naye Siry se hisaab saary... *_TaNhA_*

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga