Tum aisa karna kah koi jugno koi sitara sambhal rakhna . Mere andheron ki fikar choro bas apne ghar ka khayal rakhna . Ujar mosam may rait dharti pe fasal boi thi chandni ki . Ab is may ugnay lage andhere to kaisa jee malaal rakhna . Diyaar.e.ulfat may ajnabi ko safar hai darpesh zulmaton ka . Kahin wo raahon may kho na jaye zara darechay ujaal rakhna . Wo rasm.o.raah hi nahin rahe jab to naamay kis kaan ke tumhare . Udhar se guzraa kabhi to loon ga mere khataon ko nikal rakhna . Bicharne wale ne waqt.e.rukhsat kuch is nazar se palat ke daikha . Kah jaise wo bhi yah keh raha ho tum apne ghr ka khayal rakhna . Yah dhop chaon ka khel hai ya khizaan ya khizaan bahron ki ghaat may hai . Neseeb.e.subah urooj ho to nazar may sham.e.zawal rakhna . Kisay khabar thi kah kab ye mosam uraa ke rakh dega khaak "AAZAR" . Tum ehtiyatan zameen ke sar pay falak ki chadar bhi daal rakhna. . Typed by *__SA-k-Jan__*

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga