Typed by. *_RAINY_EYES_* Aqs khushbu hun, Bikharney se na rokay koi. Aur bikhar jaon to mujh ko na samatay koi. Kaanp uthti hon mein ye soch ke tanhai mein. Mere chehray pe tera naam na parh le koi. Jis tarah khwaab mere ho gaye raiza raiza. Is tarah se na kabhi toot ke bikhray koi. Main to is din se hiraasan hun ke jab hukm milay. Khushk phoolon ko kitaabon mein na rakhay koi. Ab to os raah se wo shakhs guzarta bhi nahi. Ab kis umeed pe darwaazay se jhaankay koi? Koi aahat, koi aawaz, koi chaap nahi. Dil ki galyaan badi sunsaan hain, aaye koi. Poetest. Parveen_shakir. Typd by. *_RAINY_EYES_*

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki