Wo dushman e jan, jaan say piyara bhi kabhi tha.
Ab kis say kahin koi hamara bhi kabhi tha.
Utra hai ragon main to dil katt sa gaya hai.
Yah zahr e judai kah gawara bhi kabhi tha
.Har da'saat jahan abr e gureezan ki tarha hai.
Ya shahar kabhi shahar hamara bhi kabhi tha
.Titli k taaqub main koi phool sa bacha.
Aisa hi koi khawab hamara bhi kabhi tha.
Ab agle zamane kay mile log to pochain.
Jo hal hamara hai,tumhara bhi kabhi tha.
Har bazm main ham nay aase afsurda hi dekha
.Kahte hai FARAZ anjumam aara bhi kabhi tha.....!.
Book Pas E Andaz Mosam
*._.*
Poet Ahmad Faraz
*._.*
Typed by*.__Sarfraz Ahmad__.*
Comments