TxT by *_TaNhA_* Ab Koi Sodaa Koi Junoon Bhi Nahi Magar Qaraar Se Din Kat Rahay Hon Yun Bhi Nahi Lab-o-Dehan Mila Guftuguu Ka Fun Bhi Mila Magar Jo Dil Pe Guzarti Hai Keh Sakuun Bhi Nahi Na Jaanay Kiun Meri Aankhain Barasnay Lagti Hain Jo Sach Kahuun Tou Kuch Aisa Udaas Hun Bhi Nahi Meri Zabaan Ki Luknat Se Badguman Na Ho Jo TU Kahay Tou Tujhe Umer Bhar Miluun Bhi Nahi Dukhon Ke Dhair Lagay Hain Ke Loog Baithay Hain Is Diyaar Ka Mein Bhi Hun Aur Hun Bhi Nahi Faraz Jaisay Diya Qurbat-e-Hawaa Chaahay Wo Paas Aaye Tou Mumkin Hai Mein Rahuun Bhi Nahi Poet=Ahmed Faraz

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga