TxT by *_TaNhA_* Ashk Apna K Tumhara Nhi Dekha Jata, Abr Ki Zadw Me Sitara Nhi Dekha Jata, Apni Shah'rag Ka Lahu Tann Me Ravaa'n Hai Ab Tak, Zair-e-Khanjar Koi Pyara Nhi Dekha Jata, Mauj Darr Mauj Ulajhne Ki Havas Be Maani, Doobta Ho To Sahara Nhi Dekha Jata, Tere Chehre Ki Tapish Thi K Palat Kar Dekha, Warna Suuraj To Dobara Nahi Dekha Jata, Aag Ki Zidd Me Na Ja Phir Se Bharak Sakti Hai, Raakh Ki Teh Me Sharara Nahi Dekha Jata, Zakhm Aankhon K Bhi Milte The Kabhi Dil Wale, Ab To Abru Ka Ishara Nahi Dekha Jata, Kya Qayamat Hai K Dil Jis Ka Nagar Hai, Dil Pe Us Ka Bhi Ajara Nahi Dekha Jata Mohisn Naqi

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki