Poet_Faiz Ahmed Faiz TYpEd By *_TaNhA_* = = >Tum Aaye Ho Na Shab_E_Inezar Guzri Hai_ >Talash Main Hai Sahar Bar Bar Guzri Hai_ >Junoon Main Jitni Bi Guzri Bekaar Guzri Hai_ >Agarche Dil Pe Kharabi Hazaar Guzri Hai_ >Hui Hai Hazarat_E_Naaseh Se Guftagu Jis Shab_ >Wo Shab Zaroor Sar_E_kuu_E_Yaar Guzri Hai_ >Wo Baat Sare Fasany Main Jis Ka Zikar Na Tha_ >Wo Baat Un ko Bohat Na Gawar Guzri Hai_ >Na Gul Khile Hn Na Un Se Mile Na Mai Pii Hai_ >Ajiib Rang Main Ab K Bahar Guzri Hai_ >Chaman Main Gaarat_E_Gulachin Se Jane Kya Guzari_ >Qafas Se Aaj Sab Beqarar Guzri Hai_ END*H

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga