aye gham-e-di kya karun aye vahashat-e-di kya karun


Shahar ki raat aur main nashaad-o-nakara phirun jag_magaati jaagati sadakon pe avaara phirun. Ghair ki basti hai kab tak dar badar mara phirun
Jhil_milate qum_qumon ki raah mein zanjir si raat ke haathon mein din ki mohani tasvir si Mere sine par magar chalti hui shamashir si aye gham-e-dil kya karun aye vahashat-e-dil kya karun Ye rupahali chhaaon ye aakaash par taaron ka jaal jaise suufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal Aah lekin kaun jaane kaun samajhe ji ka haal aye gham-e-dil kya karun aye vahashat-e-dil kya karun Phir Wo toota ik sitaara phir wo chhuuti phool_jhadi jaane kis ki goad mein aaye ye moti ki ladi Hook si sine mein uthi chot si dil par padi aye gham-e-dil kya karun aye vahashat-e-dil kya karun Raat hans hans kar ye kahti hai ke maikhane mein chal phir kisi shah_naaz-e-laalaarukh ke kaashyane mein chal Ye nahin mumkin to phir aye dost viraane mein chal aye gham-e-dil kya karun aye vahashat-e-dil kya karun Har taraf bikhari hui ranginiyan raanaiyan har qadam par isharaten leti hui angadaiyan Badh rahi hai goad phailaaye hue rusavaiyan aye gham-e-dil kya karun aye vahashat-e-dil kya karun Raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahin laut kar vaapas chala jaaun meri fitarat nahin Aur koi hamnava mil jaaye ye qismat nahin aye gham-e-dil kya karun aye vahashat-e-dil kya karun Muntazir hai ek toofaan-e-balaa mere liye ab bhi jaane kitne darawaze hain va mere liye Par musibat hai mera ahad-e-vafaa mere liye aye gham-e-dil kya karun aye vahashat-e-dil kya karun Ji mein aata hai ki ab ahad-e-vafaa bhi tod dun un ko paa sakta hoon main ye aasra bhi chhod dun Haan munaasib hai ye zanjr-e-hava bhi tod dun aye gham-e-dil kya karun aye vahashat-e-dil kya karun Ik mahal ki aad se niklaa wo piilaa maahtaab jaise mullaah ka amaamaa jaise baniye ki kitaab Jaise muflis ki javaani jaise bevaa ka shabaab aye gham-e-di kya karun aye vahashat-e-dil kya karun Dil mein ek shola bhadak utha hai aakhir kya karun mera paimaana chhalak utha hai aakhir kya karun Zakhm sine ka mahak utha hai aakhir kya karun aye gham-e-dil kya karun aye vahashat-e-dil kya karun Muflisi aur ye mazahir hain nazar ke saamne saikdon changez-o-naadir hain nazar ke saamne Saikdon sultan jaabar hain nazar ke saamne aye gham-e-dil kya karun aye vahashat-e-dil kya karun Le ke ik changez ke haathon se khanjar tod dun taaj par us ke damakta hai jo patthar tod dun Koi tode ya na tode main hi badhkar tod dun aye gham-e-dil kya karun aye vahashat-e-dil kya karun Badh ke is indar-sabha ka saaz-o-saamaan phunk dun is ka gulshan phunk dun us ka shabistan phunk dun Takht-e-sultan kya main saaraa qasr-e-sultan phunk dun aye gham-e-dil kya karun aye vahashat-e-dil kya karun Ji mein aataa hai ye murda chaand-taare noch lun is kinaare noch lun aur us kinaare noch lun Ek do ka zikr kya saare ke saare noch lun aye gham-e-dil kya karun aye vahashat-e-dil kya karun. Majaz Lucknawi

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki