Habs-E-Dunya Se



TaYpEd By
TLASH25

Habs-E-Dunya Se Guzar Jate Hain
Aaisa Karte Hain Ke Mar Jate Hain.

Kaise Hote Hain Bicharne Wale
Ham Ye Sochain Bhi To Dar Jate Hain.

Dil Jo Toote To Sar-E-Mehfil Bhi
Baal Bewajah Bikhar Jate Hain.

Ab Na Dekho Meri Banjar Ankhein Charte Darya To Uther Jate Hain.

Dhoop Ka Roop Rachane Wale
Sham Ko Aur Nikhar Jate Hain.

Ab Na Mur Mur Ke Pukaro Unko
Log Raste Mein Thehar Jate Hain.

Khaali Daaman Se Shikayat Kaisi
Ashk Ankhon Mein To Bareh Jate Hain.

Tum Kahan Jao Ge Socho Mohsin
Log Thak Haar Ke Ghar Jate Hain....!

Poet By
Mohsin Naqvi.

eND.

Follow Tlash25 Send To 8001

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki