Hasan Kozahgar



TaYpEd By 

TLASH25

Jahan Zad
Neeche Gali Mein
Tere Dar k Aage
Ye Mein Sokhta Sar Hasan Kozahgar Hon.

Tujhe subho Bazaar Mein Borhe Ataar Yosuf Ki Dukan Par,Mein Ne Dekha To Teri Nigahon Mein
Wo Taab Naaki Thi Mein Jis Ki Hasrat Mein
Nau Saal Dewana Phirta Raha.

Jahan Zad Nau Saal Dewana Phirta Raha Ye Wo Dor Tha Jis Mein Main Ne Kabi Apne Ranjoor Koozon Ki Janib Palat Kr Na Dekha, Wo Kooze Mere Dast-E-Chabuk K Putle
Gil-O-Rang-O- Raughan Ki Makhloq-E-Bejan.

Wo Sargoshyon Mein Ye Kehte
Hasan Kooza Gar Ab Kahan Hai Wo Hamse Khud Apne Amal Se
Khudawand Ban Kar Khudaon Ki Manind Hai Roo-E-Gardan Janan Zad.

Nau Saal Ka Dor
Yon Mujhpe Guzra K Jaise Kisi Shehr-E-Madfoon Par Waqt Guzre
Tagharon Mein Miti Kabhi Kiski Khushbu Se Warafta Hota Tha Mein.

Sang Basta Pari Thi Suraahi-O-Meena-O-Jaam-0-Subhu Aur Faanoos-0-Guldaan Meri Heich Maya.!
Maeeshat Ke Izhaar-E-Fan Ke Sahaare Shikasta Pare They Mein Khud Mein Hasan Koozahgar.
Pa-Ba-Gil
Khaaksar Bar-Barehna Sar-E-Chaak.

Zoleeda Mu
Sar-Ba-Zaanu
Kisi Gham Zada Deivta Ki Tarah
Vaahime K Gil-O-La Se, Khuwabon K Sayaal Kooze Banata Raha.

Jahan Zaad.
Nau Saal Pehle Tu Nadaan Thi Lekin Tujhe Ye Khabar Thi Ke Mein Ne Hasan Koozahgar Ne
Teri Qaaf ki Si
Ufaqtab Ankhon Mein.

Dekhi Hai Wo Taab Naaki K Jis Se Mere Jism-O-Jaan, Abr-O-Mehtab Ka Rahguzar Ban Gaye They.

Jahaan Zaad.
Baghdad Ki Khuwab Gon Rat
Rood-E-Dajla Ka Sahil, Wo kashti
Wo Malaah Ki Band Ankhein
Kisi Khasta Jan,
Ranj War Koozahgar Ke Liye Ek Hi Rat.

Wo Kohruba Thi
K Jis Se Abhi Tak Hai Paivast Uska Wujood Uska Paikar Magar Ek Hi Rat Ka Zoq
Darya Ki Wo Lehar Nikla Hasan Koozahgar Jis Mein Dooba..!
To Ubhra Nahin Hai Jahan Zaad.
Is Dor Mein Roz
Har Roz Wo Sokhta Bakht
Aa Kar Mujhe Dekhti Chaak Par Pa Ba Gil,
Sar Ba Zaanu.

To shaanon Se Mujhko Hilaati
Wo Shaanon Se Mujhko Hilaati,
Hasan Koozahgar,
Hosh Mein Aa
Hasan.

Apne Weeraan Ghar Par Nazar Kar, Ye Bachon K Tannoor Kyun Kar Bharen Ge,
Hasan.

Aayi Muhbat Ke Maare, Muhbat Ameeron Ki Baazi Hasan.

Apne Deewaar-O-Dar Par Nazar Kar, Mere Kaan Mein Ye Nawaa-E-Hazeen, Yon Thi Jaise Kisi Doobte Shakhs Ko Zeir-E-Girdab Koi Pukaare.

Wo Ashkon Ke Ambaar Phoolon Ke Ambaar They
Haan Magar
Mein, Hasan Koozahgar.

Shehr-E-Auhaam Ke Un Kharabon Ka Majzoob Tha Jin Mein Koi Sada
Koi Jumbish Kisi Margh-E-Paraan Ka Saaya Kisi Zindagi Ka Nishan Tak Nahin Tha
Jahan Zaad..!
Mein Aaj Teri Gali Mein Yahan Raat Ki Sard Goon Teergi Mein Tere Dar K Aage Khara Hon.

Sar-O-Munh Pareshan
Dareeche Se Wo
Qaaf Ki Si Talismi Nigahein Mujhe
Aaj Phir Jhaankti Hain Zamaana Jahan Zaad.

Wo Chaak Hai
Jis Mein Meena-O-Jaam-0-Subhu
Aur Faanoos-O- Guldaan Ke Manind Bante Bigarte Hain Insaan.

Mein Insan Hon Lekin Ye Nau Saal Jo Gham Ke Qaalib Mein Guzre, Hasan Koozahgar.

Aaj Ek Toda-E-Khaak Hai Jis Mein Naam Ka Asar Tak Nahin Hai Jahaan Zaad.

Bazaar Mein Subah Ataar Yosuf Ki Dukaan Par,Teri Ankhein
Phir Ik Baar Kuch Keh Gai Hain, Un Ankhon Ki Taabinda Shokhi Se Uthi Hai.

Phir Toda-E-Khaak Mein Nam Ki Halki Si Larzish Tamana Ki Wus'at Ki Kis Ko Khabar Hai!
Jahaan Zaad,
Lekin Tu Chahe To Ban Jaaon...!
Mein Phir Wahi Koozahgar
Jis Ke Kooze
They Har Kaakh-O-Ku Aur Har Shehr-O-Qarya Ki Naazish.

They Jin Se Ameer-O-Gada Ke Masakin
Darakhshaan
Tamana Ki Wus'at Ki Kis Ko Khabar Hai.
Jahaan Zaad!

Lekin Tu Chaahe to main Phir
Palat Jaaon
Un Apne Mehjoor Koozon Ki Janib
Gil-O-La Ke Sookhe Tagharo Ki Janib.

Maeeshat Ke Izhaar-E-Ean Ke Sahaaron Ki Janib, Ke Mein Us Gil-O-La Se Us Rang-O-Raughan Se.

Phir Wo Saharaare Nikalon Ke Jin Se Dilon Ke Kharabe Hon Roshan....!

Poet By
Noon Meem Rashid.



eND.

Follow Tlash25 Send To 8001

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga