Jaanay Kaisay Sambhaal Kar Rakhay
Jaanay Kaisay Sambhaal Kar Rakhay
Sab Iraaday Sambhaal Kar Rakhay
Kuch Naye Rang Hain Mohabbat Ke
Kuch Puraanay Sambhaal Kar Rakhay
Mausam-e-Ishq Teri Baarish Mein
Khat Jo Bheegay Sambhaal Kar Rakhay
Jin Ki Khushbu Udaas Karti Thi
Wo Bhi Gajray Sambhaal Kar Rakhay
Tujh Se Milnay Ke Aur Bichadnay Ke
Saaray Khadshay Sambhaal Kar Rakhay
Jab Hawaa Ka Mizaaj Barham Tha
Hum Ne Pat’ty Sambhaal Kar Rakhay
Aarzoo Ke Haseen Pinjray Mein
Kuch Parinday Sambhaal Kar Rakhay
Ham Ne Dil Ki Kitaab Mein Tere
Saaray Waaday Sambhaal Kar Rakhay
Tere Dukh Ke Tamaam Hee Mausam
Ay Zamaanay Sambhaal Kar Rakhay
Mere Khwaabon Ko Raakh Kar Daala
Aur Apnay Sambhaal Kar Rakhay,,,,,,,*SA*
Poetess Noshi Gilani
Comments