Aa Kisi Sham Kisi Yad Ki Dehleez Pe Aa Umar Guzari
Aa Kisi Sham Kisi
TaYpEd By
TLASH25
Aa Kisi Sham Kisi Yad Ki Dehleez Pe Aa Umar Guzari Tujhe Dekhe Huwe Behlaye huwe
Yad Hai.
Ham Tujhe Dil Mante They Apne Seene Mein Machalta huwa Zidi Bacha.
Tere Har Naaz Ko Ungli Se Pakar Kar Aksar
Nit Naye Khuwab Ke Bazar Mein Le Aate Thay Tere Har Nakhre Ki Farmaish Par
Ek Jeevan Ki Tamanaon Ki Beenayi Se Ham
Dekhte Thakte Na Thay.
Sochte Thay
Ek Chota Sa Naya Ghar
Naya Maahol
Muhbat Ki Fiza
Ham Dono Aur Kisi Bat Pe Takiyon Se Larai Apni Phir Larai Mein Kabhi Hanste Huwe Ro Parna.
Aur Kabhi Rote Huwe Hans Parna Aur Thak Haar Kar Gir Parne Ka Masoom Khushi Bakhsh Khayal
Yad Hai.
Ham Tujhe Sukh Jante Thay Rat Hans Deti Thi Besakhta Rawish Se Teri
Dil Teri Doori Se Ro Parta Tha Yaad Hai...!
Ham Tujhe Jan Kaha Karte Thay
Teri Khamoshi Se Mar Jate Teri Aawaz Se Jee Uthtay Thay.
Tujh Ko Choo Lene Se Ek Zindagi Aa Jati Thi Sharyano Mein Tham Lene Se Koi Shehar Sa Bas Jata Tha.
Weerano Mein
Yad Hai Ham Tujhe Milnay Ke Liye Waqt Se Pehle Puhanch Jate Thay.
Aur Mulaqat Ke Bad
Ham Buhat Dair Se Ghar Aate To Kehte K Hamein
Kuch Na Kaho Ham Buhat Door Se Ghar Aaye Hain Is Qadar Door Se Ghar Aaye Hain Ke Shayad Hi koi Aaya Ho.
Yad Hai Ham Tujhe Khuda Samajhte Thay Magar Kufar Se Dar Jate Thay.
Teray Cheen Jane Ka Dar Thek Se Rakhta Tha, Musalman Hamein Aa Kisi Sham Kisi Yad Ki Dehleez Pe Aa
tere Bhoole Huwe Raston Pe Liya Phirta Hai.
Emaan Hamein
Aur Kehta Hai Ke Pehchan Hamein
Yad Hai ? Ham Tujhe Emaan Kaha Karte Thay...!
eND.
Follow Tlash25 Send To 8001
Comments