Aaye Husn-E-Lala Zara Aankh To Mila

Aaye Husn-E-Lala Faam

TaYpEd By
TLASH25

Aaye Husn-E-Lala Zara Aankh To Mila Khaali Pare Hain Jaam Zara Aankh To Mila.

Kahte Hain Aankh Aankh Se Milna Hai Bandagi Dunya Ke Chor Kaam Zara Aankh To Mila.

Kiya Wo Na Aaj Aayenge Taaron Ke Sath Sath Tanhaiyon Ki Shaam Zara Aankh To Mila.

Ye Jaam Ye Saabo,Ye Tasaawur Ki Chandni Saaqi Kahan Madaam Zara Aankh To Mila.

Saaqi Mujhe Bhi Chahiye Ik Jaam-E-Arzo Kitne Lagayen Ke Daam Zara Aankh To Mila.

Paamal Ho Na Jaye Sitaaron Ki Aabron Aye Mere Khush-O-Khurram Zara Aankh To Mila.

Hai Raah-E-Kahkashan Mein Azal Se Khare Huwe "Saghar" Tere Ghulam Zara Aankh To Mila....!

Poet By
Saghar Siddique

Book Name. 
Muhbat Mustaqil Ghum Hai.

eND.

Follow Tlash25 Send To 8001

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki