Barish Huwi To Phoolon Ke Tan Chak Ho Gaye
Barish Huwi To
TaYpEd By
TLASH25
Barish Huwi To Phoolon Ke Tan Chak Ho Gaye
Mosam Ke Hath Bheeg Ke Safak Ho Gaye.
Badal Ko Kya Khabar Ki Barish Ke Chaah Mein
Kitne Buland-O-Bala Shajar Khak Ho Gaye.
Jugnu Ko Din Ke Waqt pakarane Ke Zid Karen
Bache Hamare Ahad Ke Chalak Ho Gaye Lahra Rahi Hai Barf Ke Chadar Hata Ke Ghas.
Sooraj Ke Shah Pe Tinke Bhi Bebak Ho Gaye Sooraj Dimaag Log Bhi Iblag-E-Fikr Mein
Zulf-E-Shab-E-Firaq Ke Pechak Ho Gaye.
Jab Bhi Gareeb-E-Shahar Se Kuch Guftagu Huwi
Lehje Hawa-E-Sham Ke Namnak Ho Gaye.
Sahil Pe Jitne Aabguzida They Sab Ke Sab Dariya Ke Rukh Badalate Hi Tairak ho Gaye...!
Poet By
Parveen Shakir
eND.
Follow Tlash25 Send To 8001
Comments