Barish Thi Ham The Aur Ghani Ho Rahi Thi Shaam.
Barish Thi Ham
TaYpEd By
TLASH25
Barish Thi Ham The Aur Ghani Ho Rahi Thi Shaam.
Tum Ne Liya Tha Kanpte Honton Se Mera Naam.
Mein Ne Kaha Tha Aao Yunhi Bhegte Chalein.
In Raston Mein Dair Talak Ghoomte Chalein.
Mere Qamar Mein Hath Ye Pholon Sa Dal Kar.
Kandhe Pe Mere Rakhe Raho Yun Hi Apna Sar.
Hathon Ko Kabhi Mein Balon Ko Choom Lon.
Dekho Meri Taraf To Mein Ankhon Ko Choom Lon.
Pani Ke Ye Jo Phool Hain Rukh Pe Khile Huwe.
In Mein Dhanak Ke Rang Hain Saare Ghule Huwe.
Honton Se Unko Chunte Rahein Khush Dili Ke Sath.
Teri Hamein Talash Karein Chandni Ke Sath.
Yonhi Kisi Darkht Ke Neeche Khare Rahein.
Barish Ke Dair Bad Bhi Lipte Khare Rahein.
Tum Ne Kaha Tha Aao Chalein Raat Aa Gayi..!
Dil Jis Se Dar Raha Tha Wahi Baat Aa Gayi.
Beete Samme Ki Yaad Hi Raston Mein Reh Na Jaaye.
Ye Dil Kahin Wisal Ki Barish Mein Beh Na Jaaye.
Kuch Dair Ek Chup Se Rahi Darmiyan Mein.
Girhin Se Jese Parhne Lagi Hon Zuban Mein.
Yak Dam Gira Tha Phool Koi Shakhsar Se.
Dekha Tha Tum Ne Mere Taraf Iztirar Se.
Barish Mein Bhegte Huwe Jhonke Hawa Ke The.
Wo Chand Be Guman Lamhen Bala Ke The.
Nasha Sa Charon Taraf Phelta Gaya.
Phir Us Ke Baad Mein Ne Tumhein Kuch Nahin Kaha...!
Poet By
Amjad Islam Amjad.
eND.
Follow Tlash25 Send To 8001
Comments