Maine Is Tor Say Chaha Tujhe

Type By,,,,,,-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad,,,-*
.
Maine Is Tor Say Chaha Tujhe Aksar Jaana Jaise Mahtab Ko Bay Antt Samandar Chahiay
.
Jaise Soraj Ki Kiran Saip K Dil Main Utre Jaise Khushbo Ko Hawa Rang Say Hatt Kar Chahe
.
Jaise Pather K Kalaije Say Kiran Photti Hai Jaise Gunche Khile Mosam Say Hina Mangte Hai
.
Jaise Khawabo Main Khayalo Ki Kamaan Totti Hai Jaise Barish Ki Dua Abla Paa Mangte Hai
.
Mera Har Khawab Mere Sach Ki Gawahi Dayga Was'aat Deed Nay Tujh Say Teri Khwahish Ki Hai
.
Meri Socho Main Kabhi Daikh Sarapa Apna Maine Dunya Say Alag Teri Parastish Ki Hai
.
Khawahish Deed Ka Mosam Kabhi Dhundla Jo Hoa Noch Dali Hai Zamano Ki Niqabain Maine
.
Teri Palko Pay Utri Hoi Subho K Liay Tor Dali Hai Sitaro Ki Tanabain Maine
.
Maine Chaha K Tere Husn Ki Gulnar Fiza Meri Gazlo Ki Qataro Say Dahakti Hai
.
Maine Chaha K Mere Kafan K Gulistan Ki Bahar Teri Ankho K Gulabo Say Mahakti Jaye,,,-*,,SA,,*
.
Tay To Ye Tha K Sajata Rahe Lafzo K Kanwal Mere Khamosh Khayalo Main Takalum Tera

Raqs Karta Rahe Bharta Rahe Khushbo K Khumaar Meri Khwahish K Jazeero Main Tabassum Tera

To Magar Ajnabi Mahol Ki Parwadah Kiran Meri Bhujti Hoi Rato Ko Sahar Kr Na Saki

Teri Sanso Main Masihai Thi Laikin To Bhi Charah Zakhm E Ghum Deeda Tar Kar Na Saki

Tujh Ko Ahsas Hi Kab Hai K Kisi Dard Ka Dag Ankh Say Dil Main Utar Jaye To Kya Hota Hai

To K Simaab Tabiat Hai Mujhe Kya Malom Mosam Hijar Thahar Jaye To Main Kya Karo

To Nay Us Mor Pay Tora Hai Taluq K Jahaan Daikh Sakta Nahi Koi Bhi Palat Kar Jaana

Ab Ye Alam Hai K Ankhain Jo Kholain Gi Apni Yaad Aayegi Teri Deed Ka Manzar Jaana

Mujh Say Mange Ga Tere Ahd E Mohabt Ka Hisab Tere Hijra Ka Dahakta Hoa Mahshar Jaana

Yun Mere Dil K Barabr Tera Ghm Aya Hai Jaise Sheshe K Muqabil Koi Pathar Jana.*
.
End
.
Book
Azab E Deed By Mohsin Naqvi

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga