Lamha Lamha Yad Ata Hai Pichli Rut Ka Sath Tumhara


Pichli Rut Ka Sath Tumhara
.
Type By,,,,,,-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad,,,-*
.
By
Ateeq Ul Rahman Saafi
.
Lamha Lamha Yad Ata Hai Pichli Rut Ka Sath Tumhara
.
Har Mosam Main Tarpata Hai Pichli Rut Ka Sath Tumhara
.
Ab K Bhi Wo Rut Aai Hai Shayad Wo Bhi Lot Hi Aaye
.
Kah Kah K Ye Bahlata Hai Pichli Rut Ka Sath Tumhara
.
Jab Bhi Teri Yad Say Aage Barhna Chaho To Dil Mera
.
Phr Say Ankh Main Lay Aata Hai Pichli Rut Ka Sath Tumhara
.
Tera Rasta Takte Takte Ankh K Manzar Sard Hoay Yun
.
Har Manzar Main Darr Ata Hai Pichli Rut Ka Sath Tumhara
.
Waise To Bay Dardi Jeena Mushkil Ho Jana Tha Laikin
.
Sansain Har Dam Mahkata Hai Pichli Rut Ka Sath Tumhara
.
Aas Umeed K Deep Sare Dheere Dheere Bujh Jate Hai
.
Unko Phr Sulgata Hai Pichli Rut Ka Sath Tumhara
.
Zaat K Is Zindan Main "Sarfraz" G Bikhri Weerani K Daarr Say
.
Har Pal Cheekhta Chillata Hai Pichli Rut Ka Sath Tumhara,,,-*,,SA,,*

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki