Sar E Mahsher Butoon Ki Ye Shararat Khud Numa Ho Kar
Sar E Mahsher
.
Type By,,,,,,-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad,,,-*
.
Sar E Mahsher
Butoon Ki Ye
Shararat Khud
Numa Ho Kar,
Chale Sachay
Khuda K Samne
Jhotay Khuda
Ho Kar
.
Ghazab Hai Aik
Zara C Baat Par
Hum Say Khafa
Ho Kar
Nigahain Phair
Kar Tum Ja Rahe
Ho Dilruba Ho
Kar
.
Nasheeli Ankh
Par Us Nay Ye
Zulfon Ka Bakhaira
Hai
K Maikhane Pay
Badal Chaa Gaye
Kaali Ghaata Ho
Kar
.
Chale Aaye Jo
Kal Bada Kasho
Main Ewaz
Farmanay,
Janab Shaikh
Maikhane Say
Nikle Parsaa Ho
Kar
.
Khata Walo Pay
Ilzam E Khata Tak
Bhi Nahi Or Hum
Sazaon Par Sazain
Pa Rahe Hai Bay
Khata Ho Kar
.
Gul E Rukhsar E
Rangeen Ki Hai
Khushbo Aaj,
Gulshan Main
Zaror Unki Gali
Say Aai Hai Baad
E Saba Ho Kar
.
Kahin Phr Raste
Main Lutt Na Jaye
Karwaan Apna
Ilaahi Phr Hamain
Rahzun Mile Hai
Rahnuma Ho
Kar
.
Sar E Mehfil Na
Pocha Jab Haal
Us Nay To Aay
"Purnum"
Mere Ankhon
Main Anso Aye
Meri Iltija Ho
Kar,,,-*,,SA,,*
.
Poet
Purnum Allabadi
Book
Phool Daikhay Na Gaye
Comments