Na Poch Mera Hussain Kya Hai

Na Poch Mera Hussain Kya Hai
.
Type By,,,,,,-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad,,,-*
.
Jahan E Azm E Wafa Ka Paikar
.
Khrad Ka Markaz, Junoon Ka Mahwar
.
Jamal E Zahra (R.A) Jamal E Haidar (R.A)
.
Zameer E Insan Naseer Daawar
.
Zameen Ka Dil Asmaan Ka Yaawar
.
Dayar E Sabro Reza Ka Dilbar
.
Kamal E Essar Ka Payambar
.
Shaaoor E Aman O Sukoon Ka Paykar
.
Jabeen E Insaniyat Ka Jhoomar Arab Ka Sahra , Ajam Ka Zaiwar
.
Hussain (R.A) Taswfer E Ambiya Hai
.
Na Poch Mera Hussain Kya Hai
.
Hussain (R.A) Ahl E Wafa Ka Bastee
.
Hussain (R.A) Aayeen E Haq Parsatee
.
Hussain (R.A) Sidq E Safa Ka Saathee
.
Hussain (R.A) Pesh Az Adam Tasawoor
.
Hussain (R.A) Ne Zindagi Bikhairi Faza Se Warna Qaza Baraste Uroog E Haft Asmaan E Azmat
.
Hussain (R.A) Ka Naqsh E Pa Ki Masti
.
Hussain (R.A) Ko Khuld May Na Dhundho
.
Hussain (R.A) Mehnga , Hai Khuld Saste
.
Hussain (R.A) Maqsoom E Deen O Imaan

.
Hussain (R.A) Famhoom E Hal Ata Hai
.
Na Poch Mera Hussain (R.A) Kya Hai
.
Hussain (R.A) Dil Hai Hussain (R.A) Jahan Hai
.
Hussain (R.A) Quran Ki Zuban Hai
.
Hussain (R.A) Irfaan Ki Saltanat Hai
.
Hussain (R.A) Sarkar E Do Jahan Hai
.
Hussain (R.A) Zahnon Ka Asman Hai
.
Hussain (R.A) Zakhmo Bhare Jabeen Hai
.
Hussain (R.A) Azmat Ka Astaan Hai
.
Utha Raha Hai Jo Lash E Akbar (R.A)
.
Hussain (R.A) Boohra Nahi Jawan Hai
.
WO Sar Kharoo E Nashab E Sahra
.
Wo Sar Buland E Sar Nana Hai
.
Wo Badr E Aflak E Admiyat
.
Wo Sdar E Arbab E Karbala Hai
.
Na Poch Mera Hussain (R.A) Kya Hai
.
Hussain (R.A) Ki Justajo Hai
.
Hussain (R.A) Yazdan Ke Abro Hai
.
Hussain (R.A) Tanha Tha Karbala May
.
Hussain (R.A) Ka Zikr 4 So Hai
.
Furaat Ki Nabz Ruk Gai Hai
.
Hussain (R.A) Masrof E Guftago Hai
.
Jahan Gulabn Se Kat Gaya Hai

.
Hussain (R.A) Shayad Laho Laho Hai
.
Hayat Ki Irtaqa Se Pocho
.
Hussain (R.A) Payambar E Namoon Hai
.
Hussain (R.A) Ka Hosla Na Pocho
.
Hussain (R.A) Lut Kar Bhi Sukhroo Hai
.
Wo Daikho Fojun K Darmian Bhi
.
Hussain (R.A) Tanha Data Hua Hai
.
Na Poch Mera Hussain Kya Hai
.
Hussain (R.A) Nikhra Hua Qalandar
.
Hussain (R.A) Biphra Hua Samandar
.
Hussain (R.A) Bastay Dilo Say Aage
.
Hussain (R.A) Ujre Dilo K Andar
.
Hussain (R.A) Sultan E Deen O Imaan
.
Hussain (R.A) Afkaar Ka Sikandar
.
Hussain (R.A) Admi Ka Rutba
.
Hussain (R.A) Hai Admi Ka Man Dar
.
Khuda K Bakhshish Hi Khema Zan Hai
.
Hussain (R.A) Ki Saltanat K Andar
.
Hussain (R.A) Data Hussain (R.A) Raja
.
Hussain (R.A) Bhagwan Hussain (R.A) Sundar
.
Hussain (R.A) Akash Ka Rashi Hai
.
Hussain (R.A) Dharti Ki Aatma Hai

.
Na Poch Mera Hussain (R.A) Kya Hai
.
Hussain (R.A) Maidan Ka Sipahi
.
Hussain (R.A) Dash E Ana Ka Rahi
.
Hussain (R.A) Andaz E Kajkalahi
.
Hussain (R.A) Ki Gard E Pa Zamana
.
Hussain (R.A) Ki Thokaraon May Shahi
.
Hussain (R.A) Meraaj E Fikr D Aalam
.
Hussain (R.A) Ramz E Jahan Panahi
.
Zameer E Insaf Li Lughad May
.
Hussain (R.A) Mayar E Eay Gunahi
.
Benam E Jabr O Azoor E Shahi
.
Hussain (R.A) Ghayrat Ka Faisla Hai
.
Na Poch Mera Hussain (R.A) Kya Hai
.
Hussain (R.A) Fikr O Ana Ka Ghazee
.
Hussain (R.A) Janggaah Me Namazi
.
Hussain (R.A) Husn E Nayaz Mandi
.
Hussain (R.A) Ijaz E Bay Nayazi
.
Hussain (R.A) Anjam E Jan Gudazi
.
Hussain (R.A) Tauqeer E Kar Bandi
.
Hussain (R.A) Taaber E Kar Sazi
.
Hussain (R.A) Mojiz Mumaye Dauran
.
Hussain (R.A) Haq Ki Fason Tarazi
.
Hussain (R.A) Hara To Yun Jaise
.

Hussain (R.A) Nai Jeet Lai Ho Baazi
.
Hussain (R.A) Sare Jahan Ka Waris
.
Hussain (R.A) Kahne Ko Be Nawa Hai
.
Na Poch Mera Hussain (R.A) Kya Hai
.
Hussain (R.A) Payambar E Baharan
.
Hussain (R.A) Taskeen Dildigaran
.
Hussain (R.A) Meer E Hijaz E Hasti
.
Hussain (R.A) Salar E Shahsawaran
.
Ki Deeda O Dil Ki Dash O Dar May
.
Hussain (R.A) Tasmeel E Abr O Bahara
.
Hussain (R.A) Tadbeer E Jaan Farashan
.
Hussain (R.A) Taqdeer E Sogwaraan
.
Kabhi To Chashm E Hunar Se Daikho
.
Hussain (R.A) Rashk E Rukhi Nigaran
.
Hussain (R.A) Husn E Mahi Muharram
.
Hussain (R.A) Hi Eid E Rozdaraan
.
Hussain (R.A) Sar Maya Ambiya Kaz
.
Hussain (R.A) Ijaz E Aullaya Hai
.
Na Poch Mera Hussain (R.A) Kya Hai
.
Hussain (R.A) Ek Dil Nasheen Kahani
.
Hussain (R.A) Dastoor E Haq Ka Baani
.
Hussain (R.A) Abbas (R.A) Ka Sarapa

,
Hussain (R.A) Akbar (R.A) ki Naujawani
.
Hussain (R.A) Kirdar E Ahl Iman
.
Hussain (R.A) Mayaar Zindagi
.
Hussain (R.A) Qasim (R.A) Ki Kam Numai
.
Hussain (R.A) Asghar (R.A) ki Bezubani
.
Hussain (R.A) Sajjad (R.A) ki Khamoshi
.
Hussain (R.A) Baqar Ki Nauha Khani
.
Hussain (R.A) Dajla Ka Khush Saahil
.
Hussain (R.A) Sahra Ki Baykarari
.
Hussain (R.A) Zainab (R.A) ki Kasm O Pursi
.
Hussain (R.A) Kulsoom (R.A) ki Reda Hai
.
Na Poch Mera Hussain (R.A) Kya Hai...........*
.
END............*.SA.*
.
Poet Mohsin Naqvi

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga