Chahre Pay Zara Zulf Ko Bikhraao Kisi Din

Chahre Pay Zara
Zulf Ko Bikhraao
Kisi Din
.
Manzar Saher O
Shaam Ka Dikhao
Kisi Din
.
Phr Zulf Ki Khushbo
Say Mehek Jaye
Gulistan
.
Zulfon Ko Hawaon
Main Jo Lahraaaao
Kisi Din
.
Soraj Ko Ghataon
Say Nikalte Hoay
Daikhon
.
Gaisu E Rukh
Roshan Say Jo
Sirkaao Kisi Din
.
Rukhsar Pay Bondain Hon Paseenay Ki
Tumhari
.
Yun Shabnami
Pholon Main
Nazar Aao Kisi
Din
.
Pholon K Haseen
Haar Gale Lagte
Hai Jaise
.
Is Tarha Gale Aa
K Lag Jaao Kisi
Din
.
Aa'on Jo Mulakat
Ko Main ,
Daikh K Mujh Ko
.
Baahon Ko Mere
Waste Phailaao
Kisi Din
.
Khushiyun Ki Koi
Had Na Rahe
Jaan E Tamanna
.
Tum Pyar Say
"Purnum" Ko Apnao
Kisi Din,,,'*'SA'*
.
Type By,,,,,,'*'
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad,,,'*'
.
Poet
Purnum Allabadi
Book
Phool Daikhay Na
Gaye
.
Page 135 " 136

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga