Wo Ankh Mere Liay Num Hai Kya Kia Jaye,

Wo Ankh Mere
Liay Num Hai
Kya Kia Jaye,
Usay Bhi Aaj
Mera Ghum Hai
Kya Kia Jaye,,,'*'
.
Tere Bagair Kahin
Mera G Nahi Lagta
Tere Bagair Ye
Aalam Hai Kya Kia
Jaye,,,'*'
.
Saher Qareeb Hai
Ab Kya Wo Aainge
Milne
Umeed E Wisal
Boht Kam Hai Kya
Kia Jaye,,,'*'
.
Khata Maf Khatain
To Hum Say Hongi
Zaror
K Ye To Fitrat E
Aadam Hai Kya
Kia Jaye,,,'*'
.
Ilaahi Ab Koi Charah
Nahi Dua K Siwaa
Mareez E Hijar Lab E
Dum Hai Kya Kia
Jaye,,,'*'
.
Wo Mujh Say Milne
Ko Aaye Hai Meri
Moat K Baad
Khoshi Bhi Mere
Liay Ghum Hai Kya
Kia Jaye,,,'*'
.
Baraste Rahte Hai
Din Raat Hijar Main
"Purnum"
Ye Haal E Deeda
Purnum Hai Kya
Kia Jaye,,,'*'SA'*'
.
Type By,,,,,,'*'
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad,,,'*'
.
Poet
Purnum Allabadi
Book
Phool Daikhay Na
Gaye
.
Page 113 " 114

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki