Ya Rab Is Ghum Sy Sar 0 Kaar Na Hone Paye

Ya Rab Is Ghum
Sy Sar 0 Kaar Na
Hone Paye
Sari Dunya Ho
Khafa Par Yar Na
Hone Paye
.
Dost Dushman Ka
Tarf'dar Na Hone
Paye
Gul Jo Hai Gul Hi
Rahe Khaar Na
Hone Paye
.
Roz O Shab Dard
E Muhabat Sy
Tarapte Hi Rahe
Kabhi Acha Tera
Bemar Na Hone
Paye
.
Jab Ye Fitrat Ka
Taqaza Hai To
Mumkin Hi Sahi
Admi Ho K
Gunahgar Na Hone
Paye
.
Is Liay Us Nay
Tajal'li Ko Banaya
Hai Hijab
Ankh Walon Ko
Bhi Dedar Na
Hone Paaye
.
Main Taqaza Jo
Karon Wisal Ka
Ay Jazba E Dil,
Yar Ko Jur'aat E
Inkar Na Hone
Paye
.
Dijiay Dil Sy
Zabt E Alam Ko
Mere
Ap Badnaam Jo
Sarkar Na Hone
Paye
.
Unko Nawaqif E
Anjam E Muhabt
Rakhna
Ay Khuda Mujh
Say Unhain Pyar
Na Hone Paye
.
Pa K Bhi Dolat
E Konain Kabhi
Tere Bagair,
Mut'maa'in Tere
Talab'gar Na
Hone Paye
.
Marzi E Gair Ye Hai
Un Sy Kabhi Ay
"Purnum"
Ankhon Ankhon
Main Bhi Karar Na
Hone Paye,,,'*'SA'*'
.
Type By,,,,,,'*'
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad,,,'*'
.
Poet
Purnum Allabadi

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki