Ab Apne Faislay Par Khud Ulajhnay Q Lagi Hon

Ab Apne Faislay Par Khud Ulajhnay Q Lagi Hon
.
Zara C Baat Par Itna Bikharne Q Lagi Hon
.
Wo Jis Mosam Ki Ab Tak Muntazir Ankhain Theen Meri
.
Usi Mosam Sy Ab Main Itna Darnay Q Lagi Hon
.
Mujhe Na Deed Raston Par Safar Ka Shoq Bhi Tha
.
Thakan Paon Sy Lipti Hai To Marne Q Lagi Hon Main
.
Mujhe Ye 4 Dewari Ki Ronaq Mar Day Gi
.
Main Ik Inkaan Thi Manzil Ka Mitne Q Lagi Hon
.
Main Jisko Kam Sy Kam Mahsos Krna Chahti Thi
.
Usi Ki Bat Ko Itna Samjhnay Q Lagi Hon
.
Jo Meri Dil Ki Galiyon Say Kabhi Guzra Nahi Tha
.
Ab Apne Hath Sy Khat Usko Likhne Q Lagi Hon
.
Badan Ki Raakh Tak Bhi Raston Main Na Bachay Gi
.
Barasti Barishon Main Yun Sulagnay Q Lagi Hon
.
Wohi Soraj Hai Dukh Ka Phr Ye Aisa Kya Ho Hai
.
Main Pather Thi To Akhir Ab Pighalne Q Lagi Hon....'*'SA'*'
.
Type By,,,,,,-'*'
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
.
Poetss
Noshi Gilaani
Book

Udaas Honay K Din

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga