Kyun Ziyan Kaar Banon Sood Framosh Rahon

The Complain Sir Dr Allama Iqbal

TaYpEd By
     TLASH25


Kyun Ziyan Kaar Banon Sood Framosh Rahon.
=
Fikr E Farda Na Karon Mahw E Gham E Dosh Rahon.
=
Naale Bulbul K Sunon Aur Hama Tan Gosh Rahon.
=
Hamnawa Mein Bhi Koi Gul Hon K Khamosh Rahon.
=
Jurat Aamoz Meri Tab E Sukhon Hai Mujh Ko.
=
Shikwa Allah Se Khakam Badahan Hai Mujh Ko.
=
Hai Baja Shewa E Tasleem Mein Mashoor Hain Ham.
=
Qisa E Dard Sunate Hain K Majboor Hain Ham.
=
Saz E Khamosh Hain Faryad Se Mamoor Hain Ham.
=
Nalaa Ataa Hai Agar Lab Pe To Ma'azoor Hain Ham.
=
Ay Khuda Shikwa E Arbab E Wafa Bhi Sun Le.
=
Khugar E Hamd Se Thora Sa Gila Bhi Sun Le.
=
Thi To Moajood Azal Se Hi Teri Zaat E Qadim
Phuul Tha Zeb E Chaman Par Na Preshan Thi Shameem.
=
Shart Insaf Hai Ay Sahib E Altaf E Ameem.
=
Boo E Gul Phelti Kis Tarah Jo Hoti Na Naseem...!
=
Ham Ko Jamiyat E Khatir Ye Preshani Thi.
=
Warna Umat Tere Mahboob S.A.W. Ki Deewani Thi.
=
Ham Se Pahle Tha Ajab Tere Jahan Ka Manzar.
=
Kahi Masjood They Pathar Kahi Ma'abood Shajar.
=
Khugar E Pekar E Mahsoos Thi Insan Ki Nazar.
=
Manta Phir Koi Un Dekhe Khuda Ko Kyon Kar
Tujh Ko Ma'aloom Hai.

Leta Tha Koi Naam Tera Quwat E Bazu E Muslim Ne Kya Kaam Tera.
=
Bas Rahey They Yahin Saljuq Bhi Toorani Bhi.
=
Ahl E Chin Cheen Mein Iran Mein Sasani Bhi.
=
Isi Ma'amorey Mein Aabad They Yoonani Bhi.
=
Isi Dunya Mein Yahoodi Bhi They Nusraani Bhi.
=
Par Tere Naam Pe Talwaar Uthai Kis Ne.
=
Bat Jo Bigri Hui Thi Wo Banai Kis Ne.
=
They Hamein Ek Tere Marka Aaraon Mein.
=
Khushkyon Mein Kabhi Larte Kabhi Daryaon Mein.
=
Deen Azaanein Kabhi Europe K Kaleesaon Mein.
=
Kabhi Africa K Tapte Hue Sahraon Mein.
=
Shan Ankhon Mein Na Jachti Thi Jahan Daaron Ki.
=
Qalma Parhte They Ham Chaon Mein Talwaron Ki.
=
Ham Jo Jeete They To Jangon Ki Museebat K Lye.
=
Aur Merte They Tere Naam Ki Azmat K Lye.
=
Thi Na Kuch Taeeg.Zani Apni Hukoomat K Lye.
=
Sar.Bakaf Phirte They Kya Dahar Mein Dolat K Lye.
=
Qaom Apni Jo Zar O Maal E Jahan Par Marti.
=
But Faroshi K Ewaz But Shikni Kyon Karti.
=
Tal Na Sakte They Agar Jang Mein Arrh Jate They.
=
Paon Sheron K Bhi Medan Se Ukhar Jate They.
=
Tujh Se Sarkash Hua Koi To Bigar Jate They.
=
Taeeg Kya Cheez Hai Hm Toop Se Larr Jate They.
=
Naqsh Toaheed Ka Har Dil Pe Bithaya Ham Ne.
=
Zer E Khanjar Bhi Ye Pegham Sunaaya Ham Ne...!
=
Tu Hi Kah De K Ukhara Dar E Khebar Kis Ne.
=
Shahar Qaisar Ka Jo Tha Us Ko Kya Sar Kis Ne.
=
Torre Makhlooq Khuda Wandon K Pekar Kis Ne.
=
Kaat Kar Rakh Dye Kufaar K Lashkar Kis Ne.
=
Kis Ne Thanda Kya Aatish.Kuda E Iran Ko.
=
Kis Ne Phir Zinda Kya Tazkara E Yazdaan Ko.
=
Kon Si Qoam Faqat Teri Talabgaar Hui
Aur Tere Lye Zehmat Kash E Pekaar Hui.
=
Kis Ki Shamsheer Jahangeer Jahandar Hui
Kis Ki Takbeer Se Dunya Teri Bedar Hui.
=
Kis Ki Haibat Se Sanam Sahme Hue Rahte They
Monh K Bal Gir K.
=
Hu Wa-Allah Hu Ahad Kahte They.
=
Aa Gaya Aain Larai Mein Agar Waqt E Nimaz
Qibla Roo Ho K Zameen Boss Hui Qoum E Hijaz.
=
Ek Hi Sif Mein Khare Ho Gaye Mahmood O Ayaz No Koi Banda Raha Aur Na Koi Banda Nawaz...!
=
Banda O Sahib O Mohtaj O Ghani Ek Hue.
=
Teri Sarkar Mein Pohanchey To Sabhi Ek Hue.
=
Mahfil E Kon O Makan Mein Sehar O Sham Phirey.
=
Mai E Toheed Ko Lekar Sifat E Jaam Phirey.
=
Koh Mein Dasht Mein Le Kar Tera Pegham Phire
Aur Maloom Hai Tujh Ko Kabhi Naakam Phirey.
=
Dasht To Dasht Hai Darya Bhi Na Chorey Ham Ne
Bahr E Zulmat Mein Doara Dye Ghore Ham Ne.
=
Sifah E Dahar Se Baatil Ko Mitaya Ham Ne Nau E Insan Ko Ghulami Se Churaya Ham Ne.
=
Tere Qaabe Ko Jabeenon Se Basaya Hm Ne.
=
Tere Quraan Ko Seenoon Se Lagaya Ham Ne.
=
Phir Bhi Ham Se Ye Gila Hai K Wafadar Nahi
Ham Wafadar Nahi Tu Bhi To Dildaar Nahi.
=
Umatein Aur Bhi Hain In Mein Gunahgaar Bhi Hain.
=
Ejz Wale Bhi Hain Mast E Mai E Pindaar Bhi Hain...!
=
In Mein Kahil Bhi Hain Ghafil Bhi Hain.

Hoshyar Bhi Hain
Sekron Hain K Tere Naam Se Bezar Bhi Hain.
=
Rahmatein Hain Teri Aghyaar K Kashanon Par
Barq Girti Hai To.
=
Bechaarey Musalmano Par
Boot Sanam Khaanon Mein Kahte Hain.
=
Musalman Gaye
Hai Khushi In Ko K Qaabe K Nigahbaan Gaye.
=
Manzil E Dehr Se Unthon K Hudi Khawan Gaye.
=
Apni Baghlon Mein Dabaaye Hue Quraan Gaye.
=
Khandah Zan Kufar Hai Ihsaas Tujhe Hai K Nahi.
=
Apni Toheed Ka Kuch Paas Tujhe Hai K Nahi.
=
Ye Shikayat Nahi Hain Un K Khazane Maamoor.

Nahi Mahfil Mein Jinhein Bat Bhi Karne Ka Shaoor
Qehar To Ye Hai K Kafir Ko Milaayen Hoor O Qasoor.
=
Aur Bechaarey Musalman Ko Faqat Wada E Hoor.
=
Ab Wo Altaf Nahi Ham Pe Inayat Nahi.
=
Bat Ye Kiya Hai K Pahli Si Madaarat Nahi...!
=
Kyon Musalmano Mein Hai Dolat E Dunya Nayab
Teri Qudrat To Hai Wo Jis Ki Na Had Hai Na Hisab.
=
Tu Jo Chahey To Uthey Seena E Sahra Se Habab
Rahro E Dasht Ho Seeli Zada Moj E Saraab.
=
Tan E Aghyaar Hai Ruswai Hai Nadari Hai.
=
Kiya Tere Naam Pe Marney Ka  Ewaz Khuwari Hai.
=
Bani Aghyar Ki Ab Chahney Wali Dunya.
=
Rah Gayi Apne Lye Ek Khayali Dunya.
=
Ham To Rukhsat Hue Auron Ne Sanbhali Dunya.
=
Phir Na Kahna Hui Toheed Se Khali Dunya.
=
Ham To Jeete Hain K Dunya Mein Tera Naam Rahey.
=
Kahi Mumkin Hai Saaqi Na Rahey Jaam Rahey.
=
Teri Mahfil Bhi Gayi Chahney Wale Bhi Gaye.
=
Shab Ki Aahein Bhi Gayen Subah K Naale Bhi Gaye.
=
Dil Tujhe De  Bhi Gaye Apna Sila Le Bhi Gaye.
=
Aa K Bethey Bhi Na They K Nikale Bhi Gaye...!
=
Aaye Ushaq Gaye Wada E Farda Le Kar.
=
Ab Unhein Dhond Chiraag E Rukh E Zeba Le Kar.
Dard E Laila Bhi Wahi Qais Ka Pehloo Bhi Wahi.
=
Nejad K Dasht O Jabal Mein Ram E Aahoo Bhi Wahi.
=
Ishq Ka Dil Bhi Wahi Hussn Ka Jadu Bhi Wahi.
=
Umat E Ahmad E Mursal Bhi Wahi Tu Bhi Wahi Phir Ye Aazordagi E Gher Sabab Kiya Mani.
=
Apne Shedaon Pe Ye Chasham E Gazab Kiya Mani.
=
Tujh Ko Chora K Rasool E Arabi S.A.W. Ko Chora.
=
Butgari Pesha Kiya But Shikani Ko Chora.
=
Ishq Ko Ishq Ki Ashufta Sari Ko Chora.
=
Rasm E Salman R.A. O Awes E Qarani R.A. Ko Chora.
=
Aag Takbeer Ki Seeno Mein Dabi Rakhtey Hain.
=
Zindagi Misl E Bilal E Habshi R.A. Rakhtey Hain.
=
Ishq Ki Kher Wo Pahli Si Adaa Bhi Na Sahi.
=
Ziyada Pemai Taslim O Raza Bhi Na Sahi...!
=
Muztarib Dil Sifat E Qibla Numa Bhi Na Sahi.
=
Aur Pabandi E Aaain E Wafa Bhi Na Sahi.
=
Kabhi Ham Se Kabhi Gheron Se Shanasai Hai.
=
Bat Kahne Ki Nahi Tu Bhi To Harjai Hai.
=
Sar E Faran Pe Kiya Deen Ko Qaamil Tu Ne
Ek Ishare Mein Hazaron K Lye Dil Tu Ne.
=
Aatish Andoz Kya Ishq Ka Haasil Tu Ne
Phonk Di Garmi E Rukhsar Se Mahfil Tu Ne.
=
Aaj Kyon Seene Haamare Shahar Abaad Nahi.
=
Ham Wahi Sokhta Saamaan Hain Tuhi Yad Nahi.
=
Waadi E Najd Mein Wo Shor E Silasil Na Raha.
=
Qais Deewana E Nazara Mahmil Na Raha.
=
Hosle Wo Na Rahe Ham Na Rahe Dil Na Raha.
=
Ghar Ye Ujra Hai K Tu Ronaq E Mahfil Na Raha.
=
Ay Khush Aan Roz K Aayi O Bsad Naaz Aayi.
=
Be Hijabana Soye Mahfil E May Baaz Aayi.
=
Badah Kash Ger Hain Gulshan Mein Lab E Joo Bethey.
=
Sunte Hain Jaam Bakaf Nagmaa E Kookoo Bethey...!
=
Door Hangama E Gulzaar Se Yak Soo Bethey.
=
Tere Deewane Bhi Hain Muntazir Hooo Baithey.
=
Apne Parwano Ko Phir Zoq E Khud Afrozi De.
=
Barq E Dereena Ko Farman E Jigar Sozi De.
=
Qoam E Aawara Anaa Taab Hai Phir Soye Hijaz
Le Urra Bulbul E Be Par Ko.

Mazak E Parwaz
Muztarib Baagh K Har Ghoonche Mein Hai Boye 
Niaz.
=
Tu Zara Chair To De Tishna E Mezrab Hai Saaz
Naghme Beta'ab Hain.

Taaron Se Niklne Ke Lye Toor Muztar Hai Usi Aag Mein Jalne K Lye.
=
Mushkelein Umat E Marhoom Ki Aasaan Kar De.
=
Moor E Bemaya Ko Hamdosh E Suleman Kar De.
=
Jens E Nayab E Muhbat Ko Phir Arzan Kar De.
=
Hind K Der Nasheno Ko Musalman Kar De...!
=
Jooye Khon Mein Chakad Azz Hasrat E Dereena E Maa
Mi.
=
Tapd Naala Baa Nashtar Kadah E Seena E Maa.
=
Boo E Gul Le Gayi Beoon E Chaman Raz E Chaman
Kya Qiyamat Hai K Khud Phul Hain Ghamaz E Chaman.
=
Ihd E Gul Khatam Hua Toot Gaya Saz E Chaman.
=
Urr Gaye Dalyon Se Zamzama Pardaz E Chaman.
=
Ek Bulbul Hai K Hai Mehw E Taranam Ab Tak.
=
Us K Seene Mein Hai Nagmoon Ka Talatam Ab Tak.
=
Qumryan Shakh E Sinobar Se Gurezan Bhi Huian.
=
Patyan Phuul Ki Jhar Jhar K Pareshan Bhi Huian.
=
Wo Puraani Rawishein Baag Ki Weeran Bhi Huian.
=
Daalyaan Parahan E Barg Se Uryaan Bhi Huian.
=
Qaid E Mosim Se Tabiyat Rahi Azad Uski.
=
Kash Gulshan Mein Samjhta Koi Faryad Uski.
=
Lutf Merne Mein Hai Baaqi Na Maza Jeene Mein
Kuch Mazaa Hai.

To Yahi Khon E Jigar Peene Mein...!
=
Kitne Betaab Hain Johar Mere Aaine Mein.
=
Kis Qadar Jalwe Tarapte Hain Mere Seene Mein
Is Gulstan Mein.

Magar Dekhne Wale Hi Nahi
Dagh Jo Seene Mein Rakhte Hon.

Wo Lale Hi Nahi
Chaak Is Bulbul E Tanha Ki Nawa Se Dil Hon.
=
Jagne Wale Isi Bang E Dara Se Dil Hon.
=
Yani Phir Zinda Naye Ihd E Wafa Se Dil Hon.
=
Phir Isi Bada E Dereena K Pyase Dil Hon.
=
Ajami Khum Hai To Kya May To Hijazi Hai Meri
Naghma Hindi Hai To Kya.

Laayi To Hijazi Hai Meri....!
=
Poet.
Dr Allama Iqbal 
=
eND.
=
Follow Tlash25 Send To 8001

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki