Mein Aisi Muhbat

Mein Aisi Muhbat

TaYpEd By
            TLASH25

Nakam Nahi Na Shad Nahi Mein Qais Nahi Farhad Nahi.

Punho B Nahi Ranjha B Nahi

Wamiq B Nahi Mirza B Nahi.

Wo Log To Sab Fasana The Is Shidat Se Begana The.

Mein Zinda Ek Haqeqat Hon

Sarapa Jazba-E-Ulfat Hon.

Mein Tumko Dekh K Jeta Hon

Har Lamha Tum Pe Marta hon.

Mein Aisi Muhbat Karta hon Tum Kaisi Muhbat Karti Ho.

Tum Jahan Pe Beth K Jate Ho

Jis Chez Ko Hath Lagate Ho Mein Wahi Pe Baitha Rehta Hon Us Chez Ko Chhota Rehta Hon.

Mein Aisi Muhbat Karta Hon Tum Kaisi Muhbat Karti Ho.

Tum Jis Se Hans K Milte Ho Mein Usko Dost Banata Hon Tum Jis Raste Par Chalte Ho Mein Us Se Ata 
Jata Hon.

Mein Aisi Muhbat Karta Hon Tum Kaisi Muhbat Karti Ho.

Tum Jin Ko Dekhte Rehte Ho

Wo Khuwab Sarhane Rakhta Hon.

Mein Tum Se Milne Julne K

Kitne Hi Bahane Rakhta Hon.

Mein Aisi Muhbat Karta Hon Tum Kaisi Muhabt Karti Ho..!

Kuch Khuwab Saja Kar Ankhon Mein Palkon Se Moti Chunta Hon.

Koi Lams Agar Chho Jaye To

Mein Pahro Tum Ko Sochta Hon.

Mein Aisi Muhbat Karta Hon Tum Kaisi Muhbat Karti Ho.

Jin Logon Mein Tum Rehti Ho

Tum Jin Se Batein Karti Ho

Jo Tum Se Hans Ke Milte Hain.

Jo Tum Ko Ache Lagte Hain Wahi Mujh Ko Ache Lagte Hain.

Mein Aisi Muhbat Karta Hon Tum Kaisi Muhbat Karti Ho.

Wo Us Tumhare Chahre Par Jo Qatra Qatra Girti Hai Wo Titli Chor Ke Phoolon Ko

Jo Tum Se Milne Aati Hai.

Jo Tum Ko Chhone Aati Hai

Un Sab K Nazuk Jazbon Mein Mere Dil Ki Dharkan Basti.

Meri Rooh Bhi Shamil Rehti Hai

Tum Pas Raho Ya Door Raho

Nazron Mein Samai Rehti Ho.

Mein Tumko Takta Rehta Hon

Mein Tumko Sochta Rehta Hon.

Mein Aisi Muhbat Karta Hon Tum Kaisi Muhbat Karti Ho...!

Jis Collage Mein Tum Parhti Ho

Mein Us Mein Lacchar Deta Hon.

Wo Class Jahan Tum Hoti Ho Mein Usko Takta Rehta Hon.

Jis Kursi Pe Tum Bethti Ho, Mein Usko Chhota Rehta Hon.

Jo Copy Tum Ne Gum Ki Thi, Mein Apne Baig Mein Rakhta Hon.

Gadla Sa Ek Tishu Peppar Jo Tum Ne Class Mein Chora Tha

Wo Mere Pars Mein Rahta Hai.

Wo Mere Lams Mein Rehta Hai

Wo Makhmal Hai Wo Deeba Hai

Wo Chandni Hai Wo Sona Hai.

Wo Ambar Hai Wo Sandhal Hai

Wo Khushbu Ka Ik Jangal Hai.

Har Manzar Mein Har Raste Par

Mein Sath Tumhare Rehta Hon, Bas Tumko Sochta Rehta Hon.

Mein Aisi Muhbat Karta Hon Tum Kaisi Muhbat Karti Ho.

Mein Aisi Muhbat Karta Hon Tum Kaisi Muhbat Karti Ho...!


Sheere Bhi Nahi Laila Bhi Nahi

Mein Heer Nahi Izra Bhi Nahi.

Wo Qissa Hai Afsana Hai Wo Geet Hai Prem Tarana Hai Wo Zinda Ek Haqeeqat Hai.

Mein Jazba-E-Ishq Ki Shiddat Hon, Tum Ko Dekh Ke Jeeti Hon.

Mein Har Pal Tum Pe Marti Hon.

Mein Aisi Muhbat Karti Hon Tum Kaisi Muhbat Karte Ho.

Jab Hath Dua Ko Uthte Hain Alfaz Kahin Kho Jate Hain, Bas Dhiyan Tumhara Rehta Hai, Aur Ansu Behte Rahte Hain.

Har Khuwab Tumhara Poora Ho Us Rab Ki Minnat Karti Hon.

Mein Aisi Muhbat Karti Hon Tum Kaisi Muhbat Karte Ho.

Mujhe Dhandak Ras Nahi Aati

Mujhe Barish Se Khof Aata Hai

Par Ji Din Se Maloom Huwa

Ye Mosam Tum Ko Bhata Hai.

Ab Jab Bhi Sawan Aata Hai

Barish Mein Bheegti Rehti Hon, Qatron Mein Tumhi Ko Dhondhti Hon.

Mein Aisi Muhbat Karti Hon Tum Kaisi Muhbat Karte Ho...!


Wo Faiz Ho Meer Ho Ghalib Ho Wo Asghar Jigar Ho Jalib Ho.

Wo Saif Adeem Ho Farhat Ho

Wo Sajid Ho Wo Amjid Ho.

Sab Meri Fehum Se Balaa Hai Kesa Ye Khel Nirala Hai Un Sab Ko Ghanto Parhti Hon.

Mein Aisi Muhbat Karti Hon Tum Kaisi Muhbat Karte Ho.

Sab Kehte Hai Is Dunya Ka Har Rang Tumhi Se Roshan Hai Mere Ishq K Dawedar Hai Sab.

Sab Mujhko Dawi Kehte Hai Par Mujhko Aisa Lagta Hai Har Rang Tumhi Pe Jajta Hai.

Tum Na Ho To Be Rang Hon Mein

Be Ronaq Hai Tasweer Meri.

Tum Khuwab Mera Tabeer Meri Tum Se Hai Juri Taqder Meri.

Jo Khak Tumhen Chhoo Jati Hai

Us Miti Pe Me Marti Hon.

Mein Aisi Muhbat Karti Hon Tum Kaisi Muhbat Karte Ho.

Tum Jab B Ghar Par Ate Ho Aur Sab Se Baten Karte Ho Mein Oot Se Parde Ki Jaa'na Bas Tum Ko Dekhti Rehti Hon.

Ik Tum Ko Dekhne Ki Khatir Mein Kitni Pagal Hoti Hon.


Mein Aisi Muhbat Karta Hon Tum Kaisi Muhbat Karte Ho.!

Jab Darwaze Par Dastak Ho

Ya Ghanti Fone Ki Bajti Hai Mein Chho K Sab Kuch Bhagti Hon.

Par Tum Ko Jab Nahi Pati Hon G Bhar K Rone Lagti Hon.

Mein Aisi Muhbat Karti Hon Tum Kaisi Muhbat Karte Ho.

Mehfil Mein Kahi Par Jana Ho Kapro Ka Chunao Karna Ho Rango Ki Dhanak C Bikhri Ho Us Rang Pe 

Dil Aa Jata Hai, Jo Rang Tum Ko Bhata Hai.

Mein Aisi Muhbat Karti Hun Tum Kaisi Muhbat Karte Ho.

Rozana Apne Collage Mein Kisi Ka Lacchar Sunte Huwe Ya Baraik K Khali Ghante Mein Sakhiyo Se 
Baten Karte Huwe.

Mere Dhyan Me Tum Aa Jate Ho
Mein, Main Nahi Rehti Phr Jana

Main Tum Mein Gum Ho Jati Hon.

Bas Khuwabo Mein Kho Jati Hon, In Ankho Mein Kho Jati Hon.

Mein Aisi Muhbat Karti Hon Tum Kaisi Muhbat Karte Ho.


Jis Chehre Par B Nazar Pare Wo Chehra Tumsa Lagta Hai Wo Sham Ho Ya Dhop Same Sab Kitna Bhala 

Sa Lagta Hai Jane Ye Kesa Nasha Hai Garmi Ka Tapna Mosam Hai!

Mein Aisi Muhbat Karti Hon Tum Kaisi Muhbat Karte Ho.

Tum Jab Bi Samne Aate Ho

Mein Tumse Sun'na Chahti Hon Ay Kash Kabi Tum Ye Keh Do Tum Mujh Se Muhbat Karte Ho.

Tum Mujhko Be Had Chahte Ho

Lekin Tum Jane Kyun Chup Ho Ye Soch K Dil Ghabrata Hai.

Aisa To Nahi Na Jana Sab Meri Nazar Ka Dhoka Hai Tumne Mujhko Chaha Hi Na Ho Koi Aur Hi Dil Me Rehta Ho.

Mein Tum Se Pochna Chahti Hon Mein Tum Se Kehna Chahti Hon Lekin Kuch Poch Nahi Sakti.

Mana Ke Muhbat Hai Phir Bi Lab Apne Khol Nahi Sakti Khuwabo Mein Buhat Kuch Bolti Hon Par Samne 
Chup Hi Rehti Hon, Mein Larki Hon Kaise Keh Don Mein Kaisi Muhbat Karti Hon.

Mein Tum Se Ye Kaise Pocho Tum Kaisi Muhbat Karte Ho.

Mein Aisi Muhbat Karti Hon Tum Kaisi Muhbat Karte Ho...!

Book Name. Muhbat Khushguma Hai.

Poet By
Khalil Ullah Faroqi.

eND
.
Typing Date

12.01.2014

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga