Zara Si Dair Ko Aaye They Khuwab Aankhon Mein.

Zara Si Dair Ko



TaYpEd By 
    TLASH25



Zara Si Dair Ko Aaye They Khuwab Aankhon Mein.
=
Phir Us Ke Baad Musalsil Azaab Aankhon Mein.
=
Wo Jis Ke Naam Ki Nisbat Se Roshan Tha Wajood.
=
Khatak Raha Hai Wahi Aaftab Aankhon Mein.
=
Jinhain Mata E Dil O Jaan Samajh Rahe They Hum.
=
Wo Aaine Bhi Huwe Be Hijaab Aankhon Mein.
=
Ajab Tarah Ka Hai Mosam Ke Khaak Urti Hai.
=
Wo Din Bhi They Ke Khile They Gulaab Aankhon Mein.
=
Mere Gazal Teri Wihishaton Ki Khair Ki Hai.
=
Buhat Dino Se Buhat Iztirab Aankhon Mein.
=
Na Jaane Kaisi Qiyamat Ka Paish khaima Hai.
=
Ye Uljhane Teri Be Intisaab Aankhon Mein...!
=
Poet By
Iftikhar Arif.
=
eND.
=

Follow Tlash25 Send To 8001

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki