4 Tinko Ka Sahara Kuch Nahi

4 Tinko Ka Sahara Kuch Nahi
.
Type By......-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
.
4 Tinko Ka Sahara Kuch Nahi
Saihen E Gulshan Main Hamara
Kuch Nahi
.
Chain Lota Dil Mera Weraan Kiya
Bas Bigara Hai Sanwara Kuch Nahi
.
Jaan Daine K Liay Hazir Hai Hum
Aashiqi Main Ye Khasara Kuch Nahi
.
Justaju, Imaan, Tana Sani,
Gunah
Moaj Sab Kuch Hai Kinara Kuch Nahi
.
Bewafai Bhi Tera Ahsaan Hai
Us Say Barh Kar Haq Hamara Kuch Nahi
.
Hum Say Dil Lay Kar Ye Zalim Nay Kaha
Jaao Rasta Lo Tumhara Kuch Nahi
.
Ik Nigah E Luft Hum Par Bhi Kabhi
Arz Hai Apni Ijara Kuch Nahi
.
Sare Alam Main Wohi Wo Hai "Naseer"
Sab Kuch Unka Hamara Kuch Nahi....*SA*
",,
",,
Poet:-
Peer Naseer O Deen Naseer Shah
Book
Paimaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki