Aa Gayin Chal K Hawain Tere Dewane Tak,

Aa Gayin Chal K Hawain
.
Type By......-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
.

Aa Gayin Chal K Hawain Tere Dewane Tak,
Ab Yahi Lay K Chalain Gi Usay Maikhane Tak
.
Koi Chhairay Na Mujhe Ahd E Bahaar Aanay Tak,
Main Pohnch Jaonga Khud Jhom K Maikhane Tak
.
Aa K Khud Raqs Kya Karte Hai Jal Jaane Tak,
Shamma E Sozaa Kabhi Jati Nahi Parwane Tak
.
Aana Jana To Hai Waaiz Mere Kashanay Tak,
Ik Din Ap Chale Aao Maikhane Tak
.
Ab Naqahat Ka Ye Alam Hai K Uthtay Nahi Haath,
Sirf Nazrain Hi Pohnch Sakti Hai Paimane Tak
.
Is Karay Waqt Main Ahbaab Na Kaam Aayainge
Tashnagi Day Gi Sahara Mujhe Maikhane Tak
.
Dhihaan Zahid Ka Khuda Tak Kisi Sorat Na Gaya
Dastaras Thi Usay Tasbeh K Har Daanay Tak
.
Mujh Ko Bolay Say Bhi Main Bhool Sako Na Mumkin
Ye Ta'alluq To Rahe Ga
Mar Jaane Tak
.
Dil Pay Alam Ye Ghutan Ka Ye Saba K Ghumzay,
Daikhiay Kya Ho Teri Zulf K Lehranay Tak
.
Rah Dushwaar Nahi Sang Nahi Khaar Nahi,

Mutma'in Ho K Wo Aain Mere Kashaanay Tak....*SA*
.
Tum To Apne Thay Na Thi Tum Say Ye Umeed Hamain,
Koi Marta Hoto Aa Jate Hai Baiganay Tak
.
Aj Kal Bekhudi E Shoq Ka Alam Hai Ajeeb,
Kahin Main Ap Ko Kho Jaaon Tujhe Panay Tak
.
Moat Bar-Huq Hai Magar Akhri Khawahish Ye Hai,
Sans Chalti Rahe Meri Tere Aa Jane Tak
.
Baat Kar Hai Nakeerain Say Tanha Sab Ko
Saath Rahte Hai Ye Ahbaab To Dafnanay Tak
.
Musnad E Peer E Mugaan Door Boht Hai Mujh Say,
Haath Uth Kar Bhi Pohnchtay Nahi Paimane Tak
.
Qadam Uthtay Nahi Ab Zaa'eef Ka Alam Hai "Naseer"
Koi Lay Jaye Mujhe Thaam K Maikhane Tak....'*'SA'*'
",,
",,
Poet:-
Peer Naseer O Deen Naseer Shah
Book

Paimaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga