Allah Allah Pas E Parda Dar Ki Sorat

Allah Allah Pas E Parda
.
Type By......-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
.
Allah Allah Pas E Parda Dar Ki Sorat
Ab Na Pocho Kah Hai Kya Meri Nazar Ki Sorat
.
Har Nafs Hai Mujhe Wehshat Main Safar Ki Sorat
Dasht Ki Bhi Wohi Sorat Hai Jo Ghar Ki Sorat
.
Daikhne Day Na Shab E Ghum Nay Saher Ki Sorat
Daikhti Rah Gai Faryad Asar Ki Sorat
.
Chandni Ban K Utar Aao Mere Angan Main
Tum Ko Allah Nay Bakhshi Hai Qamer Ki Sorat
.
Hum Nay Jis Din Tumhain Daikha Tha Achanak Sar E Rah
Hum Nay Us Din Say Na Daikhi Kabhi Ghar Ki Sorat
.
Wo Bula Lain Mujhe Ya Aap Chala Jaaon Main
Mere Mola...! Koi Ban Jaye Udhar Ki Sorat
.
Sar Salamat Rahe Dewar Hai Dewaana Hai
Ap Zindaan Main Nikal Aayegi Dar Ki Sorat
.
Ik Pamaal E Alum 2sra Mashgol E Sitam
Ik Tamasha Tha Idhar Or Udhar Ki Sorat
.
IK Nazar Ap Bhi Daikhain To Bahaar Aai Hai
Dil Ka Har Zakhm Khila Hai Gul E Tar Ki Sorat
.
Daagh Wo Khaaye Ga Seene Pay Mitaye Na Mitay
Teri Janib Mah E Taabaan Nay Agar Ki Sorat.....*SA*
.
Apni Sorat Hi Ko Aaine Main Daikha Sab Nay
Daikh Paya Na Ko Aaina Gar Ki Sorat
.
Baal Uljhay Hoay Dil Sokhta Weeran Ankhain
Allah Allah...! Tere Khak Basar Ki Sorat
.
Jinko Allah Ny Bakhshy Hon Maqamaat E Buland
Jab Mile Jhuk K Mike Shaakh E Shajar Ki Sorat
.
Jis Taraf Hota Hai Wo Jaan E Jahaan Mahw E Khur'raam
Ankhain Bichti Hai Wahan Rahguzar Ki Sorat
.
Us Dar E Naz Say Parda Nahi Uthta Na Uthay
Hum Bhi Uthnay K Nahi Parda Dar Ki Sorat
.
Ta Dum E Zeest Shikayat Rahi Aahon Say "Naseer"
Moat Aai To Nazar Aai Aasar Ki Sorat.....*SA*
",,
",,
Poet:-
Peer Naseer O Deen Naseer Shah
Book

Paimaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki