Ap Main Zulm K Andaaz Ab Aanay To Lage,

Aap Main Zulm K
.
Type By......-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
.
Aap Main Zulm K Andaaz Ab Aanay To Lage,
Khair Say Chahnay Walon Ko Satanay To Lage
.
By Hijabana Sar E Bazm Wo Aanay To Lage,
Sharm Kuch Door Hoi Ankh Milanay To Lage
.
Khud Na Aain Wo Mujhe Paas Bulaanay To Lage,
Rafta Rafta Hi Sahi Rah Pay Aanay To Lage
.
Daikhiay Ap K Daman Say Na Zar'ray Liptain,
Dil E Barbad Ki Khak Ap Uranay To Lage
.
Mere Kehlaye, Magar Un K Rahe Hazrat E Dil,
Unki Jageer Banay Hosh Thikanay To Lage
.
Kuch Na Kuch Apni Jafaon Ka Ahsas Hai Unhain,
Shikwa Karne Pay, Bahanay Wo Banaye To Sahi
.
Ye Bhi Socha Hai K Phr Kis Py Ye Jafain Hongi,
Ap Gussay Main Mere Dil Ko Mitanay To Lage
.
Ma'ay K Chiton Say Abhi Piyas Bhujay Gi Zahid,
Jhom Kar Abr Sar E Maikada Chanay To Lage
.
Is Say Bahr Kar Bhi Tawaj'jo Ki Talab Hai Tujhko,
Chut'kiyun Main Wo Teri Baat Uranay To Lage
.
Tera Kocha Na Sahi Daman E Saher Hi Sahi,
Meri Mit'ti Kahin Kambakht Thikanay To Lage
.
Ab Na Kahiaye K Mulakat Bari Mushkil Hai,
Unki Mahfil Main "Naseer" Ap Bhi Jane To Lage....*SA*
",,
",,
Poet:-
Peer Naseer O Deen Naseer Shah
Book

Paimaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga