Apni Guzri Na Kisi Haal Bhi Aaraam K Saath,

Apni Guzri Na Kisi
Haal Bhi Aaraam
K Saath,
Khud Bhi Gardish
Main Rahe Gardish
E Aaiyaam K Saath.*
.
Bada Noshi Ho Bare
Chain Say Aaraam K
Saath,
Chashm E Saqi Bhi
Jo Gardish Main
Rahe Jaam K Saath.*
.
Hum Teri Zulf E
Girah Geer Sy Khul
Khailain Gay,
Umar Guzri Hai
Hamari Qafs O
Daam K Saath.*
.
Teergi Jitni Barhi
Utnay Hi Chamkay
Aanso,
Roshni Mere Chirago
Ki Barhi Shaam K
Saath.*
.
Wo Mera Dil Tha
Ye Maikhane Ka Dil
Hai Zalim,
Muhtasib Maan Bhi
Jaa Zulm Na Kar
Jaam K Saath.*
.
Meri Ruswai Main
Nadaan Teri Ruswai
Hai,
Naam Tera Bhi
Ibarat Hai Mere
Naam K Saath.*
.
Ye Alag Baat K
Mehrom E Nazara
Thi Nazar,
Aik Ta'alluq To Raha
Tere Dar O Baam K
Saath.*
.
Ye Karam Kum Hai
K Wo Yaad Karain
Tujh Ko "Naseer",
Pyar Say Ho Ab Tera
Zikar K Dushnaam K
Saath....*SA*
.
Type By.....-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
.
Poet
Naseer O Deen Naseer
Book

Paimaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga