Ay Ishq Na Chair Aa Aa K Humein

Ay Ishq Na

TaYpEd By 
TLASH25

Ay Ishq Na Chair Aa Aa K Humein
Hum Bhoole Huwon Ko Yad Na Kar.
=
Pehle Hi Buhat Nashad Hain Hum.
=
Tu Or Hamein Nashad Na Kar.
=
Qismat Ka Sitam Hi Kam Nahi Kuch.
=
Ye Taza Sitam Ejad Na Kar
=
Yon Zulm Na Kar Bedaar Na Kar
Ay Ishq Humein Barbad Na Kar.
=
Jis Din Se Mile Hain Dono Ka
Sub Chain Gaya Aaram Gaya.
=
Chahro Se Bahar E Subah Gayi
Ankhon Se Farogh E Sham Gaya.
=
Hathon Se Khushi Ka Jam Chhota Honton Se Hansi Ka Nam Gaya.
=
Gumgeen Na Bana Nashad Na Kar Ay Ishq Humein Barbad Na Kar.
=
Raaton Ko Uth Uth Rote Hain
Ro Ro Kar Duaein Karte Hain.
=
Ankhon Mein Tassawur Dil Mein Khalish
Sar Dhonte Hain.
=
Aahein Bharte Hain Ay Ishq Ye Kaisa Rog Laga
Jeete Hain Na Zalim Marte Hain.
=
Ye Zulam To Ay Jallad Na Kar Ay Ishq Humein Barbad Na Kar...!
=

Ye Rog Laga Hai Jab Se Humein
Ranjeda Hon Mein Beemar Hai Wo.
=
Har Waqt Tapish Har Waqt Khalish Be Khuwab Hon Mein Bedar Hai Wo.
=
Jeene Se Idhar Bezar Hon Mein
Marne Pe Udhar Tayar Hai Wo.
=
Or Zabit Kahe Faryad Na Kar
Ay Ishq Humein Barbad Na Kar.
=
Bedard Zara Insaf To Kar Is Umar Mein Or Maghmom Hai Wo.
=
Phulon Ki Tarah Nazuk Hai Abhi
Taron Ki Tarah Masoom Hai Wo.
=
Ye Hussn Sitam Ye Ranj Gazab
Majbor Hon Mein Mazlom Hai Wo.
=
Mazlom Pe Yon Bedad Na Kar
Ay Ishq Humein Barbad Na Kar.
=
Ay Ishq Khudara Dekh Kahin Wo Shokh Haseen Badnam Na Ho.
=
Wo Mah E Laqa Badnam Na Ho
Wo Zuhra Jabeen Badnam Na Ho.
=
Namoos Ka Us Ko Pas Rahe Wo Parda Nasheen Badnam Na Ho.
=
Us Parda Nasheen Ko Yad Na Kar.
=
Ay Ishq Humein Barbad Na Kar...!

=
Umeed Ki Jhoti Janat K Rah Rah K Na Dikhla Khuwab Humein.
=
Aainda K Farzi Ishrat K Wade Se Na Kar.
=
Betab Humein
Kehta Hai Zamana Jis Ko Khushi.
=
Aati Hai Nazar Kamyab Humein
Chor Aisi Khushi Ko Yad Na Kar.
=
Ay Ishq Humein Barbad Na Kar.
=
Do Din Hi Mein Ihad E Tifli K
Masoom Zamane Bhool Gaye.
=
Ankhon Se Wo Khushyan Mit Si Gayi.
=
Lab K Wo Tarane Bhool Gaye.
=
Un Pak Bihishti Khuwabo K
Dilchasp Fasane Bhool Gaye.
=
Un Khuwabon Se Yon Azad Na Kar
Ay Ishq Humein Barbad Na Kar.
=
Ankhon Ko Ye Kiya Azaar Huwa.
=
Har Jazb E Nihan Par Ro Dena Ahang E Tarab Pe Jhuk Jana.
=
Aawaz E Fughan Par Ro Dena
Barbat Ki Sada Par Ro Dena.
=
Mutrib K Biyan Par Ro Dena
Ihsas Ko Ghum Bunyad Na Kar.
=
Ay Ishq Humein Barbad Na Kar...!

=
Jee Chahta Hai Ek Dosre Ko
Yon Aath Pahar Hum Karein.
=
Ankhon Mein Basayein Khuwabon Ko
Aur Dil Ko Khiyal Aabad Karein.
=
Khilwat Mein Bhi Jo Jalwat Ka Saman.
=
Wahdat Ko Dui Se Shad Karein
Ye Arzuein Eijad Na Kar.
=
Ay Ishq Humein Barbad Na Kar.
=
Wo Raz Hai Ye Ghum Aah Jise
Pa Jaye Koi To Kher Nahi.
=
Ankhon Se Jab Ansu Behte Hain
Aa Jaye Koi To Kher Nahi.
=
Zalim Hai Ye Dunya Dil Ko
Yahan Bha Jaye Koi Kher Nahi.
=
Hai Zulm Magar Faryad Na Kar.
=
Ay Ishq Humein Barbad Na Kar.
=
Dunya Ka Tamasha Dekh Liya.
=
Ghumgeen Si Hai Betab Si Hai
Umeed Yahan Ek Weham Si Hai
Taskeen Yahan.
=
Ek Khuwab Si Hai
Dunya Mein Khushi Ka Nam Nahi.
=
Dunya Mein Khushi Nayab Si Hai.
=
Dunya Mein Khushi Ko Yad Na Kar.
=
Ay Ishq Humein Barbad Na Kar...!
=
Poet By
Akhtar Sheerani.
=
eND.
=

Follow Tlash25 Send To 8001

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga