Dil Dard Ki Shidat Se Khon Gashta O Si Para.

TaYpEd By
 TLASH25

Dil Dard Ki Shidat Se Khon Gashta O Si Para.
=
Is Shaher Mein Phirta Hai Ek Wihshi O Aawara.
=
Shayar Hai K Ashiq Hai Jogi Hai K Banjara
Darwaza Khula Rakhna.
=
Seene Se Ghata Uthey Ankhon Se Jhari Barse.
=
Phagan K Nahin Badal Jo 4 Chaar Ghari Barse.
=
Barkha Hai Ye Bharo Ki Barse To Bari Barse
Darwaza Khula Rakhna.
=
Ankhon Mein Ek Aalam Ankhon Mein To Dunya Hai.
=
Honton Pe Magar Muhre Monh Se Nahin Kahta Hai.
=
Kis Cheez Ko Kho Betha Hai Kiya Dhoondne Nikla Hai.
=
Darwaza Khula Rakhna.
=
Han Tham Muhbat Ki Gar Tham Sake Doori.
=
Sajan Hai Tera Sajana Ab Tujh Se To Kiya Chori
=
Ye Jis Ki Manadi Hai Basti Mein Teri Goori.
=
Darwaza Khula Rakhna.
=
Shikwon Ko Utha Rakhna Ankhon Ko Bicha Rakhna.
=
Ek Shamma Dareeche K Chokhat Pe Jalaa Rakhna.
=
Mayoos Na Phir Jaye Han Pas E Wafa Rakhna.
=
Darwaza Khula Rakhna Darwaza Khula Rakhna.!
=
Poet By

Ibn E Insha.

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki