Dil Hai Betaab Or Nazar Hai Bay Chain

Dil Hai Betaab Or Nazar Hai Bay Chain
.
Type By......-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*

.
Dil Hai Betaab Or Nazar Hai Bay Chain
Shaam Bay Chain Hai Shajar Bay Chain
.
Band Ankhon Main Hai Khuda Betaab
Ankh Kholon To Hai Bashar Bay Chain
.
Rooh Main Mustaqil Hai Thahra Hoa
Raat Ka Akhri Paher Bay Chain
.
Jaane Kis Cheez Ki Kaami Hai Yahan
Jaane Q Kar Sab Nagar Bay Chain
.
Daikh Kar Zalimo K Naizon Ko
Honay Lagta Hai Mera Sar Bay Chain
.
Daikh Kar Pinjron K Darwazay
Ho Gaye Panchiyun K Par Bay Chain
.
Jaane Ab Kis Tarha Sakoon Mile
Aik Hi Ghar Hai Or Ghar Bay Chain.....'*'SA'*'
.
Poet
Farhat Abbas Shah
Book

Kahan Ho Tum

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki