Dunya Mein Kon Kon Na Yak Baar Ho Gaya.
Dunya Mein Kon
TaYpEd By
TLASH25
Dunya Mein Kon Kon Na Yak Baar Ho Gaya.
=
Par Monh Phir Is Tarf Na Kiya Us Ne Jo Gaya.
=
Phirti Hai Meri Khak Saba Darbadar Liye.
=
Aayi Chashm E Ashkbar Ye Kiya Tujh Ko Ho Gaya.
=
Aagaah Is Jahan Mein Nahi Gair Be Khudan.
=
Jaga Wahi Idhar Se Jo Mund Aankh So Gaya.
=
Toofan E Nuah Ne To Dubaayi Zameen Faqat.
=
Mein Nang E Khalq Sari Khudayi Dubo Gaya.
=
Barham Kahi Na Ho Gul O Bulbul Ki Ashti Darta Hon Aj Baag Mein Wo Tund Khoo Gaya.
=
Waaiz Kise Darawe Hai Yom Ul Hisaab Se.
=
Girya Mera To Naama E Aamaal Dho Gaya.
=
Phoolen Ge Is Zuban Mein Bhi Gulzar E Marfat
Yan Mein.
=
Zameen E Shair Mein Ye Tukham Bo Gaya.
=
Aaya Na Aitidal Par Hargiz Mizaj E Dehar.
=
Mein Garche Garm O Sard E Zamana Sammo Gaya.
=
Aayi Dard Jis Ki Aankh Khuli Is Jahan Mein.
=
Shabnam Ki Tarah Jan Ko Apni Wo Ro Gaya...!
=
Poet By
Khuwaja Meer Dard

Comments