Firaaq Ghum Hai Wo Ghum Bhi Isay Nahi Kehte,

Firaaq Ghum Hai
Wo Ghum Bhi
Isay Nahi Kehte,
Sitam To Ye Hai
Sitam Bhi Isay Nahi
Kahte.*
.
Bala Hai Zulf Ye
Hum Bhi Isay Nahi
Kahte,
Hazoor Abr E Karam
Bhi Isay Nahi Kahte.*
.
Kuch Aise Log
Muhabt Ko Ghum Ka
Naam Diya,
Wo Log Bhi Hai Jo
Ghum Bhi Isay Nahi
Kahte.*
.
Mili To Deeda E Saqi
Say Tashnagi To
Miti,
Boht Nahi Hai To
Kum Bhi Isay Nahi
Kahte.*
.
Chiragh E Jada E
Ulfat Ko Kya Kahay
Koi,
Jo Tera Naqsh E
Qadam Bhi Isay
Nahi Kahte.*
.
Wo Haath Rakh K
Mere Sar Pay Baat
Karte Hai,
Kasam Khuda Ki
Kasam Bhi Isay
Nahi Kahte.*
.
Teri Nigah Dil O
Jan Ki Roshni Na
Sahi,
Chiragh E Dair O
Haram Bhi Isay
Nahi Kahte.*
.
Maaf Kijiay Bay
Aaitina Nazar Sy
Hamain,
Sitam Nahi To Karam
Bhi Isay Nahi Kahte.*
.
Wajod Aks E Tajal'li
Namod Weham O
Guman,
Adam Hai O Adam Bhi
Isay Nahi Kahte.*
.
Mushabihat Tere
Jalwon Ki Aftab May
Hai,
Teri Misaal To Hum
Bhi Isay Nahi Kahte.*
.
Wo Hum Say Karte
Hai Batain Sitam K
Parday May,
"Naseer" Husn E
Karam Bhi Isay Nahi

Kahte....*SA*
.
Type By.....-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
.
Poet
Naseer O Deen Naseer
Book

Paimaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga