Ghar Say Nikal K Sair E Chaman

Ghar Say Nikal K
.
Type By......-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*

.
Ghar Say Nikal K Sair E Chaman Ko Chala To Hai,
Aaye Ga Wo Hamari Taraf Bhi Suna To Hai
.
Rasm E Karam Na Ho Jo Nahi Hai Jafa To Hai,
Qaaim Kisi Haseen Say Koi Silsila To Hai
.
Is Bay Kasi Main Hum Ko Ye Ik Asra To Hai,
Majod Nama Br Na Ho Bad E Saba To Hai
.
Teri Nazar Main Chahnay Wala Bura To Hai,
Lekin Khata Maaf Tujhe Chahta To Hai
.
Hum Nay Unhain Suna To Diya Dil Ka Majra,
Ab Daikhiaye Jo Ab Wo Kya Dain Kaha To Hai
.
Meri Tabahiyun Pay Wo Zalim Laraz Utha,
Sang E Giraan Kuch Apni Jaga Say Hila To Hai
.
Tofaan E Ghum Main Mouj E Bala Say Na Ho Udaas,
Sahil Mile , Mile Na Mile Aasra To Hai
.
Us Baargah E Naz Main Pohnchay To Janiay,
Qasid Hawa Say Taiz Udhar Ko Gaya To Hai
.
Koi To Hai Rafeeq Ghum E Hijar Main Zaror,

Main Manta Hon Tum Jo Nahi Ho Qaza To Hai....*SA*
.
Kahte Hai Ye Khabar To Nahi Hai Wo Kon Tha,
Haan Aik Sham'ma Ki Sorat Jala To Hai
.
Hum Say Raha Ta'alluq E Khatir Ka Aasra,
Acha Jo Tum Mere Nahi Hote Khuda To Hai
.
Kya Faida Hai Roz Ki Jhak Jhak Say Na-Sahu,
Main Is Chalan Say Hat Nahi Sakta Kaha To Hai
.
Mit Kar Bhi Subah O Shaam Teri Rah Guzar Main Hun,
Aakhir Mera Gubaar Thikanay Laga To Hai
.
Dunya K It'tahaam Pay Mit Jaaiaye Hazoor,
Jaisa Bhi Hai "Naseer" Magar Apka To Hai....*SA'*
.
Poet
Naseer O Deen Naseer
Book

Paimaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki