Haath Aa Jaye Mere Dard Ka Dar'maan Koi,

Haath Aa Jaye Mere
Dard Ka Dar'maan
Koi,
Aisi Gardish Bhi Ho
Gardish E Doraan
Koi.*
.
Ab Bujz Qurb Nahi
Zeest Ka Makaan
Koi,
Warna Hota Nahi
Sharminda Ehsaan
Koi.*
.
Kho Chala Kocha E
Jaa'na Main Dil O
Jaan Koi,
Yun Bhi Allah Na Ho
Bay Sar O Samaan
Koi.*
.
Mutma'in So Na Saka
Khulq Main Insaan
Koi,
Aa Hi Jata Hai Nazar
Khawab E Paraishan
Koi.*
.
Yun Tere Mushaf E
Rukh Par Hai
Nigahain Apni,
Shoq Say Jaise
Tilawat Kard Quraan
Koi.*
.
Muztarib Main Bhi
Zamane Ki Karri
Dhoop Maim Hun,
Chahta Hun K Chupa
Lay Tah E Damaan
Koi.*
.
Husn Aik Qehr Hai
Afat Hai Ghazab Hai
Yaaro,
Dil Lagaye Na Kahin
Bhool K Insaan Koi.*
.
Apki Baat Samjhta
Hun Kahun Ya Na
Kahun,
Aap Daa'na Sahi
Main Bhi Nahi
Daa'naan Koi.*
.
Muskurty Hai Mujhe
Daikh K Dunya Wale,
Mere Allah Na Ho
Mujh Sa Paraishaan
Koi.*
.

Hai Ye Iqraar Ki
Taqraar K Inkaar
Ka Rang,
Kah Raha Hai Meri
Har Baat Pay Haan
Haan Koi.*
.
Hum Wafa Paisha
Karain Gay Na Wafa
Ka Charcha,
Kar K Ehsaan Jitata
Nahi Ehsaan Koi.*
.
Main Ye Kahta Hun
Koi Teer Hai Mere
Dil Main Jaise,
Wo Kahte Hai
Machalta Na Ho
Armaan Koi.*
.
Kuj Kalaiyun Say
Nahi Khak Nasheno
Ko Gharz,
Apne Ghar Baithay
Jo Ho Waqt Ka
Sultaan Koi.*
.
Jab Zara Tark E
Ta'alluq Ki Chale
Baat "Naseer",
Thaam Lete Hai
Bare Pyar Say
Damaan Koi....*SA*
.
Type By,,,,-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad,,,-*
.
Poet
Naseer O Deen Naseer
Book

Paimaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki