Hai Aj Phr Dil E Dewana Zakhma Yaab E Janoon,

HAI Aj Phr Dil E Dewanaa
.
Type By......-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
.
Hai Aj Phr Dil E Dewana Zakhma Yaab E Janoon,
Kisi Nay Chair Diya Phr Kahin Rubab E Janoon
.
Janoon K Shaher Main Hai Hum Say Aab O Taab E Janoon,
Hamain Naseeb Hai Sarmaya E Shabab E Janoon
.
Hamari Kisht E Janoon Khaiz Q Na Ho Akhir,
Tamam Umar Barasta Raha Suhaab E Janoon
.
Janoon Ba Khair, Janoon La Jawab Hungama,
Bujz Janoon Nahi Mumkin Koi Jawab E Janoon
.
Abhi Na Chhair Mujhe Shahna E Khird Kuch Dair,
Pila Rahi Hai Kisi Ki Nazar Sharab E Janoon
.
Janoon Ki Rah Main Chalna Koi Mazaaq Na Tha,
Khurd Chali Bhi To Dogaam Hamerkaab E Janoon
.
Ye Tohfa E Dar E Jaa'na Hai To Bhi Daikh Falak,
Nishaan Sajda Par Hai Aftaab Janoon
.
Kitab E Shoq Martab Hoi Saleeqy Say,
Hamare Naam Say Hai Ibtida E Baab E Janoon
.
Namaz E Ishq Ada Ki Is Ahtamam K Sath,
Ye Faiz Ashk Kya Hai Wazo Ba Aab E Janoon
.
Khurd Utha Na Saki Phr Bhi Hangama,
Charhi Wo Tot K Boay E Sharab E Naab E Janoon
.
Tamam Umar Kati Nit Naaye Tamasho Main,

"Naseer" Jalwa Ba Jalwa Raha Kharab E Janoon....*SA*
",,
",,
Poet:-
Peer Naseer O Deen Naseer Shah
Book
Paimaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga