Hamain Jab K Apna Bana Liya To Hai

Hamain Jab K Apna Bana Liya To Hai
.
Type By......-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*

.
Hamain Jab K Apna Bana Liya To Hai Rabt Kis Liay Hum Say Kum
.
Ye Hijaab Kya, Ye Guraiz Q Rahain Samnay To Wo Kum Say Kum
.
Gham E Arzo, Gham E Justaju, Gham E Imtihan, Gham E Jism O Jaan
.
Meri Zindagi Ki Bisaat Kya Meri Zindagi To Hai Gham Say Kum
.
Ye Maqaam Naaz O Niyaaz Hai Mera Dil Hi Mehrum E Raaz Hai
.
Wo Nawaztay Hai Baa Musal'lat Hamain Altifaat O Karam Say Kum
.
Tere Astaan Ka Fakeer Hun Magar Ap Apni Nazeer Hun
.
Mere Shan E Fakar Jahan Main Na Mile Gi Shoukat E Jum Say Kum
.
Ye Kaha Gaya, Ye Suna Gaya, Ye Likha Gaya, Ye Parha Gaya
.
Na Jafa Hoi Kabhi Tum Say Kum Na Wafa Hoi Kabhi Hum Say Kum....'*'SA'*'
.
Wohi Nisbatain Wohi Rifaatain Wohi Ronaqain Wohi Azmatain
.
Mere Dil Main Jab Say Hai Wo Makeen Nahi Ye Makaan Bhi Harum Say Kum
.
Tere Abroun Ki Haseen Kamaan Nazar Aa Rahi Hai Falak Nishaan
.
Na Karishma Koos E Kaza Say Kum Na Kashish Hilaal K Khum Say Kum
.
Na Sata Mujhe Na Rula Mujhe Nahi Or Taab E Jafa Mujhe
.
K Meri Mata'aa E Shakeeb Hai Teri Kainaat E Sitam Say Kum
.
Ye Karam Hai Kam Sar E Anjuman K Pilai Us Nay Maa'y Sukhan
.
Mujhe Paas Apne Bula Liya Rahi Baat Meri To Kum Say Kum
.
Nahi Jis Main Teri Tajal'liyan Usay Janchti Hai Nazar Kahan
.
Tere Noor Ka Zahoor Ho To Wajood Bhi Aadum Say Kum.....'*'SA'*'
.
Kabhi In'aakaas E Jamaal Hai Kabhi Aain E Shaay Ki Misaal Hai
.
Nahi Mere Dil Ka Mamila Kisi Aainay K Bharam Say Kum
.
Maah O Aftab O Najoom Sab Hai Ziya Fagun Nahi Is Main Shak
.
Hai Muslim Unki Chamak Dhamak Magar Un K Naqsh E Qadam Say Kam
.
Yahi Arzo Yahi Mud'da Kabhi Waqt Ho Sunain Zara
.
Meri Dastan E Hayat E Ghum Jo Likhi Gai Hai Kalam Say Kum
.
Ye "Naseer" Daftar E Raaz Hai Ye Agbaar E Rah E Niyaz Hai
.
Karain Us Pay Ahl E Jahan Yakeen Nahi Uska Qool Kasam Say Kum....'*'SA'*'
.
Poet:-
Peer Naseer O Deen Naseer Shah
Book:-

Pamaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki