Haqeqat Daikh Lain Khud Jorr Kar Tasveer K Tukray,

Haqeqat Daikh
Lain Khud Jorr Kar Tasveer
K Tukray,
Ye Mere Dil K Tukray
Hai Ye Un K Teer
K Tukray.*
.
Dua Ki Thi To Thori
Dair Zalim Sabr Krna
Tha,
Teri Aah O Fagaan
Nay Kar Diay Taseer
K Tukray.*
.
Yahi Jaib O Garaiban
Thay Mera Sarmaya
Lay Day Kar,
Janoon Nay Kr Diay
Meri Jageer K
Tukray.*
.
Wafa Ka Zikr Bhi
Hai Bewafai Ki
Shikayat Bhi,
Juda Aik Dosray
Say Hai Meri
Tahreer K Tukray.*
.
Mukhatib Hai Aa'du
Lekin Nishana Meri
Chahat Hai,
Inhain Main Teer
Samjhon Ya Kahun
Takreer K Tukray.*
.
Asar Ho Kum Say
Kum Itna Sooz E
Shamma E Mehfil,
Jo Gul Kutray To
Ho Jayain Waheen
Gul Geer K Tukray.*
.
Wafaon Ka Mehel
Maine Jatan Kar K
Banaya Tha,
Jafaaon Sy Uraaye
Tu Nay Is Tameer
k Tukray.....*SA*
.
Khatkatay Hai To
Dil Mehsos Karta
Hai Ajab Lazzat,
Tere Taanay K
Nishter Hon K
Tere Teer K Tukry.*
.
Khizaan Tak Ye
Qafs Hai Ye Aaseri
Hai Ye Pabandi,
Bahaar Aai To Ho
Jayain Gay Khud
Zanjeer K Tukray.*
.
Sharaaron Say Meri
Aah O Fagaan K Hai
Falak Roshan,
Ye Taaray Hai K Mere
Naala E Shabgeer
K Tukray.*
.
Jo Khat May, Maine
Apni Ghumzada
Tasveer Bhi Bhaiji,
Uraay Khat K Purzay
Kar Diay Tasveer K
Tukray.*
.
Na Chotay Aay
"Naseer" Ab Aastaan
E Murshid Kamil,
Milain Mujh Ko Isi
Dar Say Meri Taqdeer
K Tukray....*SA*
.
Type By......-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
.
Poet
Naseer O Deen Naseer
Book

Paimaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki