Ishq Main Sabar Kaargar Na Hoa,

Ishq Main Sabar
Kaargar Na Hoa,
Aah Ki Aah Main
Aasar Na Hoa.*
.
Nehl E Umeed
Baar'war Na Hoa,
Jo Na Hona Tha
Umar Bhar Na Hoa.*
.
Itna Aasaan Nahi
Kisi Pay Karam,
Ap Sharma'ain Gay
Agar Na Hoa.*
.
Hum Hoay Laakh
Sab Say Baiganay
Wo Na Apna Hoa
Magar Na Hoa.*
.
Jis Tarha Intizaar
Main Hum Thay,
Is Tarha Apka
Guzar Na Hoa.*
.
Ghair Ghar Kar Gaya
Tere Dil Main,
Ik Mera Tere Dil May
Ghar Na Hoa.*
.
Hum Wafa Kar K
Bewafa Thahray,
Koi Ilzaam Tere Sar
Na Hoa.*
.
Mere Halaat Say
"Naseer" Ab Tak,
Bakhabar Husn E
Bekhabar Na Hoa....*SA*
.
Type By,,,,-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad,,,-*
.
Poet
Naseer O Deen Naseer
Book

Paimaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga