Isi Sarhad Pe Kal Dooba Tha Suraj Ho K 2 Do Tukre.

Isi Sarhad Pe Kal

TaYpEd By 
TLASH25

Isi Sarhad Pe Kal Dooba Tha Suraj Ho K 2 Do Tukre.
=
Isi Sarhad Pe Kal Zakhmi Huwi Thi Subah E Aazadi.
=
Ye Sarhad Khoon Ki Ashkon Ki Aahon Ki Shararon Ki.
=
Jahan Boi Thi Nafrat Or Talwarain Ugaayi Thi.
=
Mein Is Sarhad Pe Kab Se Muntazir Hon Subah E Farda Ka.
=
Yahan Mahbob Ankhon K Sitare Tilmilaye Thay.
=
Yahan Mashooq Chahre Ansuon Mein Jhilmilaye Thay.
=
Yahan Beton Se Maa Piyari Behan Bhai Se Bichari Thi.
=
Ye Sarhad Jo Lahu Peeti Hai Angare Ugalti Hai.
=
Humari Khaak K Seene Pe Nagin Ban K Chalti Hai.
=
Saja Kar Jang K Hathiyar Medan Mein Nikalti Hai.
=
Ye Sarhad Phool Ki Khushbu Ki Rangon Ki Baharon Ki.
=
Watan K Aarizon Pe Zulf Ki Manind Lahrati...!
=

Dhanak Ki Tarah Hansti Nadiyon Ki Tarah Bal Khati.
=
Mehkti Jagmagati Ek Dulhan Ki Maang Ki Surat.
=
Jo Balon Ko Do Hison Mein To Takseem Karti Hai.
=
Magar Sindoor Ki Talwar Se Sandal Ki Ungli Se.
=
Ye Sarhad Dilbaron Ki Ashiqon Ki Beqaraon Ki.
=
Ye Sarhad Dosto Ki Bhaiyo Ki Ghum Gusaron Ki.
=
Saher Ko Aaye Khursheed E Darakhshan Pasban Ban Kar.
=
Nigeh Bani Ho Shab Ko Asmaan K Chand Taron Ki.
=
Zameen Pemaal Ho Jaye Hare Kheto Ki Yorish Se.
=
Sipahen HamlaAawar Hon Darakhton Ki Qataron Ki.
=
Khuda Mahfooz Rakhe Is Ko Geron Ki Nigahon Se.
=
Pare Na Nazar Is Pe Khoon K Tajir Taj Daron Ki.
=
Muhbat Hukmaran Ho Hussn Qatil Dil Maseha Ho.
=
Chamman Pe Aag Barse Shola Pekar Gul Eezaron Ki...!
=

Wo Din Aaye K Ansu Ho K Nafrat Dil Se Beh Jaye.
=
Wo Din Aaye Ye Sarhad Boosa E Lab Ban K Reh Jaye.
=
Ye Sarhad Manchalo Ki Dil Jalon Ki Jan Nisaron Ki.
=
Ye Sarhad Sar Zameen E Dil K Banke Sheh Sawaaro Ki.
=
Ye Sarhad Kaj Kulaho Ki Ye Sarhad Kaj Adaon Ki.
=
Ye Sarhad Gulshan E Lahore O Dili Ki Hawaon Ki.
=
Ye Sarhad Aman O Azadi K Dil Afroz Khuwabon Ki.
=
Ye Sarhad Doobte Taron Ki Ubharte Aftabon Ki.
=
Ye Sarhad Khoon Mein Lithre Piyar K Zakhami Gulabon Ki.
=
Mein Is Sarhad Pe Kab Se Muntazir Hon Subah E Farda Ka...!
=
Poet By
Sardar Jafri.
=
eND.
=

Follow Tlash25 Send To 8001

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga